kyon
Interesting Fact
Ali Garh, 1984
ai ḳhudā phir se hameñ jahl kī daulat de de
tū ne kyoñ ilm diyā aur jahālat chhīnī
tū ne kyoñ jannat-e-humaqā se nikālā ham ko
zehn ko kis liye hone diyā bāliġh tū ne
āstīnoñ meñ mire pal ke sañpole kī tarah
Das liye jis ne mire saare hī auhām-e-kuhan
āñkheñ chehre pe kabhī ko haiñ milīñ
kaan bhī
haath bhī
paañv bhī paa.e sab ne
dekhte sab haiñ
har ik baat ko sab jānte haiñ
aur pāmāl kiyā karte haiñ saare raste
phir ye kyā baat hai
maiñ guzrā jo in rāhoñ se
apnī āñkhoñ se manāzir vahī dekhe maiñ ne
jo sabhī dekh rahe the
jo sabhī ne dekhe
be-hisī aur sukūñ se
kyoñ mire kaan baje
kyoñ mirī fikr ko mahmez huī
aur jaag uTThā ḳhayālāt meñ mahshar kā hujūm
ai ḳhudā phir se hameñ jahl kī daulat de de
ai KHuda phir se hamein jahl ki daulat de de
tu ne kyon ilm diya aur jahaalat chhini
tu ne kyon jannat-e-humaqa se nikala hum ko
zehn ko kis liye hone diya baaligh tu ne
aastinon mein mere pal ke sanpole ki tarah
Das liye jis ne mere sare hi auham-e-kuhan
aankhen chehre pe kabhi ko hain milin
kan bhi
hath bhi
panw bhi pae sab ne
dekhte sab hain
har ek baat ko sab jaante hain
aur pamal kiya karte hain sare raste
phir ye kya baat hai
main guzra jo in rahon se
apni aankhon se manazir wahi dekhe main ne
jo sabhi dekh rahe the
jo sabhi ne dekhe
be-hisi aur sukun se
kyon mere kan baje
kyon meri fikr ko mahmez hui
aur jag uTTha KHayalat mein mahshar ka hujum
ai KHuda phir se hamein jahl ki daulat de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.