kyon jalwon ke mahtab bujhe
vo husn jo ḳhanda-zan thā kabhī mahtāb kī ujlī kirnoñ par
vo gaal jinhoñ ne sharmāyā shādāb kañval ke phūloñ ko
vo aañkh chhalaktī rahtī thī paimāne se jis kī bad-mastī
vo husn hai kyoñ māyūs-e-nazar kyoñ jalvoñ ke mahtāb bujhe
kyoñ gul huiiñ nazroñ kī sham.eñ kyoñ ashk haiñ palkoñ par larzāñ
murjhā ga.e kyoñ aariz ke kañval gahnā ga.e kyoñ raushan taare
vo ek adā jis ne dil ko baḳhshī thī tamanna jiine kī
vo ek tabassum jis ne kabhī luuTā thā suhāg armānoñ kā
vo ek nazar vo bijlī jis ne phūñkā ziist ke ḳhirman ko
mahrūm-e-nigāh-e-shauq huī kyoñ shoḳh adāoñ kī pūñjī
barbād-e-ḳhizāñ haiñ ab kaise rangīn tabassum kī galiyāñ
vo ek nazar afsurda kyoñ vo ek nazar hai hairāñ kyoñ
wo husn jo KHanda-zan tha kabhi mahtab ki ujli kirnon par
wo gal jinhon ne sharmaya shadab kanwal ke phulon ko
wo aankh chhalakti rahti thi paimane se jis ki bad-masti
wo husn hai kyon mayus-e-nazar kyon jalwon ke mahtab bujhe
kyon gul huin nazron ki shamen kyon ashk hain palkon par larzan
murjha gae kyon aariz ke kanwal gahna gae kyon raushan tare
wo ek ada jis ne dil ko baKHshi thi tamanna jine ki
wo ek tabassum jis ne kabhi luTa tha suhag armanon ka
wo ek nazar wo bijli jis ne phunka zist ke KHirman ko
mahrum-e-nigah-e-shauq hui kyon shoKH adaon ki punji
barbaad-e-KHizan hain ab kaise rangin tabassum ki galiyan
wo ek nazar afsurda kyon wo ek nazar hai hairan kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.