kyon na ho
aañkh vaalo husn-e-vahdat kā tamāshā kyoñ na ho
dil hai to rāz-e-haqīqat kī tamanna kyoñ na ho
apnī manzil kī taraf garm-e-safar hai kā.enāt
aadmī phir manzil-e-maqsad kā joyā kyoñ na ho
dil meñ har zarra ke pinhāñ hai tamanna kā sharār
qalb-e-insāñ hāmil-e-soz-e-tamanna kyoñ na ho
ik na ik ummīd kī mash.al jalānā hai to phir
sham.a-e-īmāñ hī kā dil-afroz ujālā kyoñ na ho
ik na ik dar kī jabīñ-sā.ī pe qismat ziist kī
kar de sab se be-niyāz ik aisā sajda kyoñ na ho
jab guzarnā hai sahāroñ hī par apnī zindagī
jo na de saktā ho dhokā vo sahārā kyoñ na ho
tishnagī meñ chand qatroñ par qanā.at kis liye
dāman-e-himmat harīf-e-josh-e-dariyā kyoñ na ho
aarzī partav hai jis kā ġhuncha-o-gul se ayaañ
us bahār-e-jāñ-fazā hī kī tamanna kyoñ na ho
muntazir jab ek fardā ke haiñ sab imroz-o-dosh
zindagī ko ehtimām-e-fikr-e-fardā kyoñ na ho
aañkh ke jalvoñ ko jab hāsil hai auj-e-e.atibār
hosh vaalo e.atibār-e-qalb-e-bīnā kyoñ na ho
nāḳhudā bhī jis pe rakhtā hai nazar tūfān meñ
naav vaalo ruḳh usī kī samt apnā kyoñ na ho
dil ke har zarra meñ hai ik ālam-e-nau jalva-gar
aañkh vaalo is jahāñ kā bhī tamāshā kyoñ na ho
jaan hī Thahrī bahā-e-nāz to ai dosto
chhoḌ kar zarroñ ko sūraj hī kā saudā kyoñ na ho
jab kisī an-dekhī tāqat par bharosa hai zarūr
dahr vaalo phir ḳhudā hī kā bharosa kyoñ na ho
aankh walo husn-e-wahdat ka tamasha kyon na ho
dil hai to raaz-e-haqiqat ki tamanna kyon na ho
apni manzil ki taraf garm-e-safar hai kaenat
aadmi phir manzil-e-maqsad ka joya kyon na ho
dil mein har zarra ke pinhan hai tamanna ka sharar
qalb-e-insan hamil-e-soz-e-tamanna kyon na ho
ek na ek ummid ki mashal jalana hai to phir
shama-e-iman hi ka dil-afroz ujala kyon na ho
ek na ek dar ki jabin-sai pe qismat zist ki
kar de sab se be-niyaz ek aisa sajda kyon na ho
jab guzarna hai sahaaron hi par apni zindagi
jo na de sakta ho dhoka wo sahaara kyon na ho
tishnagi mein chand qatron par qanaat kis liye
daman-e-himmat harif-e-josh-e-dariya kyon na ho
aarzi partaw hai jis ka ghuncha-o-gul se ayan
us bahaar-e-jaan-faza hi ki tamanna kyon na ho
muntazir jab ek farda ke hain sab imroz-o-dosh
zindagi ko ehtimam-e-fikr-e-farda kyon na ho
aankh ke jalwon ko jab hasil hai auj-e-eatibar
hosh walo eatibar-e-qalb-e-bina kyon na ho
naKHuda bhi jis pe rakhta hai nazar tufan mein
naw walo ruKH usi ki samt apna kyon na ho
dil ke har zarra mein hai ek aalam-e-nau jalwa-gar
aankh walo is jahan ka bhi tamasha kyon na ho
jaan hi Thahri baha-e-naz to ai dosto
chhoD kar zarron ko suraj hi ka sauda kyon na ho
jab kisi an-dekhi taqat par bharosa hai zarur
dahr walo phir KHuda hi ka bharosa kyon na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.