is qadar karam kyoñ hai itnī kyoñ navāzish hai
kyā ye koī sāzish hai
tīrgī havā se kyoñ rābta baḌhātī hai
kyoñ havā charāġhoñ kī piiTh thapthapātī hai
kyoñ nahīñ samajhte ham
chāhatoñ meñ rishtoñ meñ kuchh namī zarūrī hai
zindagī zarūrī hai
baar giile kapḌoñ kā alganī uThātī hai
aur suukh jaa.eñ to ye havā uḌātī hai
kyoñ nahīñ samajhte ham
vaqt kī muñDeroñ par ghaas ugne lagtī hai
kaa.ī jamne lagtī hai
zaḳhm apne siine ke būḌhī chhat chhupātī hai
āñsūoñ kī bārish se niiñv baiTh jaatī hai
kyoñ nahīñ samajhte ham
mehrbāñ samundar bhī bādbān o langar bhī
aur ham shanāvar bhī
nāḳhudā kī koshish bhī rāsta banātī hai
phir bhī kyoñ kināre par naav Duub jaatī hai
kyoñ nahīñ samajhte ham
is qadar karam kyon hai itni kyon nawazish hai
kya ye koi sazish hai
tirgi hawa se kyon rabta baDhati hai
kyon hawa charaghon ki piTh thapthapati hai
kyon nahin samajhte hum
chahaton mein rishton mein kuchh nami zaruri hai
zindagi zaruri hai
bar gile kapDon ka algani uThati hai
aur sukh jaen to ye hawa uDati hai
kyon nahin samajhte hum
waqt ki munDeron par ghas ugne lagti hai
kai jamne lagti hai
zaKHm apne sine ke buDhi chhat chhupati hai
aansuon ki barish se ninw baiTh jati hai
kyon nahin samajhte hum
mehrban samundar bhi baadban o langar bhi
aur hum shanawar bhi
naKHuda ki koshish bhi rasta banati hai
phir bhi kyon kinare par naw Dub jati hai
kyon nahin samajhte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.