kyon shama jalai aaKHir-e-shab
ḳhush-āmdīd kahūñ kyā ye shab azaab kī hai
yahāñ milī ho jo manzil shikast-e-ḳhvāb kī
ye maiñ huuñ yā koī aañsū tumhārī palkoñ kā
ye tum ho yā koī uljhan mire shabāb kī hai
mire vajūd ko dekho na is tavajjoh se
ye āftāb nahīñ laash āftāb kī hai
tum āñsūoñ ko mirī jaan paḌh na pāogī
ye dāstāñ kisī bhīgī huī kitāb kī hai
na poñchho apne dupaTTe se merī peshānī
ye ḳhāk-e-rāh to sauġhāt inqalāb kī hai
shabāb chhoḌ gayā de ke ek dard-e-safar
ye yādgār isī kūcha-e-ḳharāb kī hai
ajiib soch meñ hai zindagī kā dorāhā
na ab sukūn kī sūrat na iztirāb kī hai
ye lab haiñ yā kisī guzrī huī bahār ke phuul
badan hai yā koī ḳhālī dukāñ sharāb kī hai
maiñ sun rahā huuñ tumhāre laboñ kī ḳhāmoshī
ġhazal ġhazal mire maazī ke intiḳhāb kī hai
bhaTak rahā huuñ maiñ is be-dilī ke sahrā meñ
jahāñ gunāh kā Dar hai na dhun savāb kī hai
tumhāre ruḳh pe hai ā.īna TūTne kā nishāñ
mahak mashām meñ sūkhe hue gulāb kī hai
ye tiis saal kī duurī ye ek roz kā qurb
sukūñ kā moḌ bhī tasvīr iztirāb kī hai
nadī ke sāmne khultā hai ghar kā darvāza
mire makān ke pīchhe galī sarāb kī hai
tumhārā dard mirī shā.erī ke kaam aaya
ye raushnī usī gum-gashta māhtāb kī hai
kahāñ se lā.ūñ sitāre jo tum ko nazr karūñ
ye shab to ruuh ke dāġhoñ ke ehtisāb kī hai
maiñ intizār meñ thā jab to haath chhoḌ diyā
yahāñ milī ho jo manzil shikast-e-ḳhvāb kī hai
maiñ āñsūoñ ko kahūñ kyā ki chhalke paḌte haiñ
ḳhush-āmdīd kahūñ kyā ki shab azaab kī hai
KHush-amdid kahun kya ye shab azab ki hai
yahan mili ho jo manzil shikast-e-KHwab ki
ye main hun ya koi aansu tumhaari palkon ka
ye tum ho ya koi uljhan mere shabab ki hai
mere wajud ko dekho na is tawajjoh se
ye aaftab nahin lash aaftab ki hai
tum aansuon ko meri jaan paDh na paogi
ye dastan kisi bhigi hui kitab ki hai
na ponchho apne dupaTTe se meri peshani
ye KHak-e-rah to saughat inqalab ki hai
shabab chhoD gaya de ke ek dard-e-safar
ye yaadgar isi kucha-e-KHarab ki hai
ajib soch mein hai zindagi ka doraha
na ab sukun ki surat na iztirab ki hai
ye lab hain ya kisi guzri hui bahaar ke phul
badan hai ya koi KHali dukan sharab ki hai
main sun raha hun tumhaare labon ki KHamoshi
ghazal ghazal mere mazi ke intiKHab ki hai
bhaTak raha hun main is be-dili ke sahra mein
jahan gunah ka Dar hai na dhun sawab ki hai
tumhaare ruKH pe hai aaina TuTne ka nishan
mahak masham mein sukhe hue gulab ki hai
ye tis sal ki duri ye ek roz ka qurb
sukun ka moD bhi taswir iztirab ki hai
nadi ke samne khulta hai ghar ka darwaza
mere makan ke pichhe gali sarab ki hai
tumhaara dard meri shaeri ke kaam aaya
ye raushni usi gum-gashta mahtab ki hai
kahan se laun sitare jo tum ko nazr karun
ye shab to ruh ke daghon ke ehtisab ki hai
main intizar mein tha jab to hath chhoD diya
yahan mili ho jo manzil shikast-e-KHwab ki hai
main aansuon ko kahun kya ki chhalke paDte hain
KHush-amdid kahun kya ki shab azab ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.