kyun aaKHir mujhe shaitan kahte hain
kyuuñ āḳhir mujhe shaitān kahte haiñ
ye saare log
kyuuñ āḳhir mujhe shaitān kahte haiñ
agar ganjā koī ho sāmne chañdiyā chamaktī ho
to kyā ye dil nahīñ kahtā
chapat ik aadh jaḌne ko
hathelī jab khujātī hai
maiñ aisā kar guzartā huuñ
mirī building kā chaukīdār
so jaatā hai din meñ bhī
vo ḳharrāTe bhī letā hai
jo us kī naak par
ik tape chpkāne ko jī chāhe
maiñ aisā kar guzartā huuñ
paḌosan aunty kī
murġhiyāñ anDe jo detī haiñ
maiñ aksar sochtā huuñ
in se chūze kyuuñ nikalte haiñ
mirī ḳhvāhish ye hotī hai
unheñ maiñ toḌ kar dekhūñ
maiñ aisā kar guzartā huuñ
galī ke moḌ pe
baiThā huā moTā sā ik kuttā
agar dauḌe to kaisā ho
agar bhauñke to kaisā ho
paTāḳha us kī dum par bāñdh kar
māchis dikhāne ko
mirā jī chāhtā hai gar
maiñ aisā kar guzartā huuñ
buzurgo mujh ko batlāo
ye sab karne ko āḳhir kyā
kisī kā dil nahīñ kahtā
kyā maiñ sab se anokhā huuñ
ye sab shaitān karte haiñ
koī insāñ nahīñ kartā
ye saare log
kyuuñ āḳhir
mujhe shaitān kahte haiñ
kyun aaKHir mujhe shaitan kahte hain
ye sare log
kyun aaKHir mujhe shaitan kahte hain
agar ganja koi ho samne chandiya chamakti ho
to kya ye dil nahin kahta
chapat ek aadh jaDne ko
hatheli jab khujati hai
main aisa kar guzarta hun
meri building ka chaukidar
so jata hai din mein bhi
wo KHarraTe bhi leta hai
jo us ki nak par
ek tape chpkane ko ji chahe
main aisa kar guzarta hun
paDosan aunty ki
murghiyan anDe jo deti hain
main aksar sochta hun
in se chuze kyun nikalte hain
meri KHwahish ye hoti hai
unhen main toD kar dekhun
main aisa kar guzarta hun
gali ke moD pe
baiTha hua moTa sa ek kutta
agar dauDe to kaisa ho
agar bhaunke to kaisa ho
paTaKHa us ki dum par bandh kar
machis dikhane ko
mera ji chahta hai gar
main aisa kar guzarta hun
buzurgo mujh ko batlao
ye sab karne ko aaKHir kya
kisi ka dil nahin kahta
kya main sab se anokha hun
ye sab shaitan karte hain
koi insan nahin karta
ye sare log
kyun aaKHir
mujhe shaitan kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.