kyun tera rah-guzar yaad aaya
terī jannat se bahut behtar hai
mere mahbūb kā ghar
ai ḳhudā tū mujhe jannat ke evaz
ghar de de mere mahbūb kā ghar
vo kare laakh sitam mujh pe
maiñ sab sah lūñgā
mausam-e-sarmā meñ vo aag lagā ke dil meñ
haath bhī taape gavārā hai mujhe
dil ne gar tang kiyā
to jigar ko maiñ sadā.eñ dūñgā
us ko bhī tishna jo paayā
to bhī fariyād karūñgā
nahīñ maiñ
umr sab biit ga.ī
kūcha-e-jānāñ ke lagāte chakkar
baa'd marne ke bhī jī meñ hai tavāf
usī kūche kā tavāf
jis meñ ghar hai mire mahbūb kā ghar
us kā ghar ghar kī tarah mere nahīñ
ek din ghar se jo ghabrā ke maiñ sahrā pahūñchā
thī nahīñ sahrā meñ vo vahshat vīrānī
jo mire ghar meñ hai
is liye ghar mirā ab mirī jannat Thahrā
mere mahbūb ke kūche kā tavāf
aur us kā ghar nahīñ donoñ ye mile
to ye kah detā huuñ maiñ
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatī
kyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
teri jannat se bahut behtar hai
mere mahbub ka ghar
ai KHuda tu mujhe jannat ke ewaz
ghar de de mere mahbub ka ghar
wo kare lakh sitam mujh pe
main sab sah lunga
mausam-e-sarma mein wo aag laga ke dil mein
hath bhi tape gawara hai mujhe
dil ne gar tang kiya
to jigar ko main sadaen dunga
us ko bhi tishna jo paya
to bhi fariyaad karunga
nahin main
umr sab bit gai
kucha-e-jaanan ke lagate chakkar
ba'd marne ke bhi ji mein hai tawaf
usi kuche ka tawaf
jis mein ghar hai mere mahbub ka ghar
us ka ghar ghar ki tarah mere nahin
ek din ghar se jo ghabra ke main sahra pahuncha
thi nahin sahra mein wo wahshat virani
jo mere ghar mein hai
is liye ghar mera ab meri jannat Thahra
mere mahbub ke kuche ka tawaf
aur us ka ghar nahin donon ye mile
to ye kah deta hun main
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyun tera rahguzar yaad aaya
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 83)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.