kyunki hum KHas log hain
vaqtan-favaqtan hamārī tārīf kī jaa.e
hameñ shābāshī dī jaa.e
kyūñki ham ḳhaas log haiñ
hamārā ḳhudā ek ḳhaas darvāze se
hameñ apnī jannat meñ dāḳhle kā e.azāz baḳhshegā
hamārā muqābla aam ādamiyoñ se na kiyā jaa.e
hameñ mutlaq iz.hār-e-rā.e kī āzādī dī jaa.e
hamāre tarz-e-amal par koī qadġhan na lagā.e
taslīm kiyā jaa.e ki ham
zindagī ko ziyāda gahrā.ī se samajhne kī salāhiyat rakhte haiñ
hameñ aam ādamiyoñ ke liye banā.e jaane vaale me.ārāt par na parkhā jaa.e
hameñ har tarah kī tanqīd aur ehtisāb se baalā qarār diyā jaa.e
avaam kī ḳhidmat aur islāh hamārā mission hai
agar is mission ko pā-e-takmīl tak pahuñchāne ke daurān
koī shaḳhs agar hamāre hāthoñ
jazbātī yā jismānī taur par halāk ho jaa.e
to hamārī niyyat par shubah na kiyā jaa.e
hameñ shābāshī deñ, hamārī tārīf kī jaa.e
kyūñki ham ḳhaas log haiñ
waqtan-fawaqtan hamari tarif ki jae
hamein shabashi di jae
kyunki hum KHas log hain
hamara KHuda ek KHas darwaze se
hamein apni jannat mein daKHle ka eazaz baKHshega
hamara muqabla aam aadamiyon se na kiya jae
hamein mutlaq izhaar-e-rae ki aazadi di jae
hamare tarz-e-amal par koi qadghan na lagae
taslim kiya jae ki hum
zindagi ko ziyaada gahrai se samajhne ki salahiyat rakhte hain
hamein aam aadamiyon ke liye banae jaane wale mearaat par na parkha jae
hamein har tarah ki tanqid aur ehtisab se baala qarar diya jae
awam ki KHidmat aur islah hamara mission hai
agar is mission ko pa-e-takmil tak pahunchane ke dauran
koi shaKHs agar hamare hathon
jazbaati ya jismani taur par halak ho jae
to hamari niyyat par shubah na kiya jae
hamein shabashi den, hamari tarif ki jae
kyunki hum KHas log hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.