kyunki
itne ūñche sirhāne kī mujhe aadat nahīñ hai
kyūñki tere bāzuoñ meñ sone kī aadat mujhe hai
kahīñ miltā nahīñ chain mujhe
kyūñki terī bāñhoñ meñ miltī rāhat mujhe hai
ḳhvāboñ se rū-ba-rū hoñgī is kī zarūrat nahīñ hai
kyūñki tujh se baḌī koī ḳhvāhish mujhe nahīñ hai
niiñd ke palle kī ab chāhat nahīñ hai
kyūñki sukūn kī chādar maiñ ne oḌh rakkhī hai
koī duujā kar luuñ kaam aisā vaqt nahīñ hai
kyūñki koī lamha tere pyaar se fursat nahīñ hai
raat ke ghuñghaT meñ jugnuoñ kī aarzū nahīñ hai
kyūñki har konā añdhere kā tujh se raushan huī hai
mere hāthoñ ko thaam tū ne diyā jo ehsās mujhe hai
is ehsās ke aage kisī kī koī qīmat nahīñ
itne unche sirhane ki mujhe aadat nahin hai
kyunki tere bazuon mein sone ki aadat mujhe hai
kahin milta nahin chain mujhe
kyunki teri banhon mein milti rahat mujhe hai
KHwabon se ru-ba-ru hongi is ki zarurat nahin hai
kyunki tujh se baDi koi KHwahish mujhe nahin hai
nind ke palle ki ab chahat nahin hai
kyunki sukun ki chadar main ne oDh rakkhi hai
koi duja kar lun kaam aisa waqt nahin hai
kyunki koi lamha tere pyar se fursat nahin hai
raat ke ghunghaT mein jugnuon ki aarzu nahin hai
kyunki har kona andhere ka tujh se raushan hui hai
mere hathon ko tham tu ne diya jo ehsas mujhe hai
is ehsas ke aage kisi ki koi qimat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.