la bhi hai ek guman
tum ne kyā dekhā yahāñ kuchh bhī nahīñ
ham ne kyā paayā yahāñ kuchh bhī nahīñ
''be-kasī haa.e tamannā ki na duniyā hai na dīñ''
''lā'' se āġhāz fasāne kā huā
''lā'' se tahzīb zamāne kī huī
''lā'' kī tafsīr nahīñ hai mumkin
''lā'' hī se ishq kā āġhāz huā
ishq hai ek balā
ishq saffāk o havasnāk darīda-dāman
jis ke qadmoñ se bipharte hue dariyā umDe
jis kī āñkhoñ se dahakte hue hiire nikle
jis ke hāthoñ pe chamakte hue mahtāb utre
ishq vo aag ki jo aur jilā de jaa.e
ishq vo ḳhvāb ki jo niiñd uḌā le jaa.e
is qadar sarkash o saffāk ki bas
dasht-e-kāshān se dillī kā safar
''nigah-e-jalva-parast aur nafas-e-sidq-guzīñ''
ik ''ubhai-chand mire nāma-e-a.amāl meñ hai
ālam-e-kul ḳhvāb meñ hai
sañg-e-marmar kī usī masjid ke
surḳh zīnoñ pe lahū bahtā hai
aaj bhī kal kī tarah hañstā hai
kufr masjid meñ bahātā hai lahū
ishq sajde meñ kahe ''shukr-allāh''
shāhabād bhī tūfān meñ bahtā jaa.e
aur 'dārā' hai kisī soch meñ ġharq
masnad-e-adl sipah-sālār aur taḳht meñ ham-fikrī hai
ek hai ''mullā-qavī''
ek hai bas yahāñ ''ālamgīr''
aur maqtal meñ akelā 'sarmad'
ruḳh-e-tārīḳh badalne ko hai
us ke ash.ār hī se taḳht laraz jaatā hai
aaise advār ka.ī baar zamīñ par guzre
kaise talvār ne maftūh qalam karne ko
haath kaaTe haiñ zabāñ kaaTī hai sar kaaTe haiñ
ham ne dekhā hai khulī āñkhoñ se
aaj kī kaun kare ab ta.azīm
kal kī takzīb nahīñ ho saktī
raakh se ghar to nahīñ ban sakte
koh meñ dar to nahīñ ban sakte
ḳhvāb fariyād nahīñ kar sakte
ḳhvāb dekhā hai khulī āñkhoñ se
chāñd ko ḳhuuñ meñ nahāte ham ne
sar khule dasht ko mātam karte
aur mahallāt ko khañDaroñ meñ badalte dekhā
kizb ko adl kā har faisla karte dekhā
taḳht ko vaqt kā fir.aun bhī bante dekhā
zer-e-shamshīr ye 'sarmad' ne kahā hañste hue
''masnad-e-adl-o-musāvāt yahāñ kuchh bhī nahīñ
''lā'' bhī hai ek gumāñ
aur gumāñ kuchh bhī nahīñ''
tum ne kya dekha yahan kuchh bhi nahin
hum ne kya paya yahan kuchh bhi nahin
be-kasi hae tamanna ki na duniya hai na din
la se aaghaz fasane ka hua
la se tahzib zamane ki hui
la ki tafsir nahin hai mumkin
la hi se ishq ka aaghaz hua
ishq hai ek bala
ishq saffak o hawasnak darida-daman
jis ke qadmon se bipharte hue dariya umDe
jis ki aankhon se dahakte hue hire nikle
jis ke hathon pe chamakte hue mahtab utre
ishq wo aag ki jo aur jila de jae
ishq wo KHwab ki jo nind uDa le jae
is qadar sarkash o saffak ki bas
dasht-e-kashan se dilli ka safar
nigah-e-jalwa-parast aur nafas-e-sidq-guzin
ek ubhai-chand mere nama-e-amal mein hai
aalam-e-kul KHwab mein hai
sang-e-marmar ki usi masjid ke
surKH zinon pe lahu bahta hai
aaj bhi kal ki tarah hansta hai
kufr masjid mein bahata hai lahu
ishq sajde mein kahe shukr-allah
shahabaad bhi tufan mein bahta jae
aur 'dara' hai kisi soch mein gharq
masnad-e-adl sipah-salar aur taKHt mein ham-fikri hai
ek hai mulla-qawi
ek hai bas yahan aalamgir
aur maqtal mein akela 'sarmad'
ruKH-e-tariKH badalne ko hai
us ke ashaar hi se taKHt laraz jata hai
aaise adwar kai bar zamin par guzre
kaise talwar ne maftuh qalam karne ko
hath kaTe hain zaban kaTi hai sar kaTe hain
hum ne dekha hai khuli aankhon se
aaj ki kaun kare ab tazim
kal ki takzib nahin ho sakti
rakh se ghar to nahin ban sakte
koh mein dar to nahin ban sakte
KHwab fariyaad nahin kar sakte
KHwab dekha hai khuli aankhon se
chand ko KHun mein nahate hum ne
sar khule dasht ko matam karte
aur mahallat ko khanDaron mein badalte dekha
kizb ko adl ka har faisla karte dekha
taKHt ko waqt ka firaun bhi bante dekha
zer-e-shamshir ye 'sarmad' ne kaha hanste hue
masnad-e-adl-o-musawat yahan kuchh bhi nahin
la bhi hai ek guman
aur guman kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.