la-hasil
malgaje se dhuñdalke meñ jab tum university se
lauT rahe hote ho
vahīñ campus ke bāhar
maiñ bhī to baiThī hotī huuñ
kabhī na ḳhatm hone vaale intizār meñ
maiñ tumheñ dekh rahī hotī huuñ
aur tum
paas se aise guzar jaate ho
jaise vāqif hī na ho
maiñ vahīñ dahlīz pe baiThī rah jaatī huuñ
phir pul ke paas se jab tum guzarte hue
Dūbte sūraj ko ek nazar dekhte ho
duur kahīñ us Dūbte sūraj kī surḳh tāñbe aisī raushnī se tumhārī dahaktī jabīñ par
jab darāḌeñ paḌne lagtī haiñ
maiñ tab bhī tumheñ dekh rahī hotī huuñ
galī kā bulb raushan karte hue
ek pal ke liye soch meñ paḌ jaatī huuñ
ab bhalā mere liye mann-o-salvā kyoñ utarne lagā
maiñ darvāza khole zindagī kā intizār kartī huuñ
magar vo mere haath nahīñ aatī
malgaje se dhundalke mein jab tum uniwersity se
lauT rahe hote ho
wahin campus ke bahar
main bhi to baiThi hoti hun
kabhi na KHatm hone wale intizar mein
main tumhein dekh rahi hoti hun
aur tum
pas se aise guzar jate ho
jaise waqif hi na ho
main wahin dahliz pe baiThi rah jati hun
phir pul ke pas se jab tum guzarte hue
Dubte suraj ko ek nazar dekhte ho
dur kahin us Dubte suraj ki surKH tanbe aisi raushni se tumhaari dahakti jabin par
jab daraDen paDne lagti hain
main tab bhi tumhein dekh rahi hoti hun
gali ka bulb raushan karte hue
ek pal ke liye soch mein paD jati hun
ab bhala mere liye mann-o-salwa kyon utarne laga
main darwaza khole zindagi ka intizar karti hun
magar wo mere hath nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.