la-ilaj
tū ai lakka-e-abr
tere badan ke musāmāt ḳhaliyoñ meñ
zahr-e-alam is tarah ghul rahā hai ki
terā ik ik ang niilā huā hai
tū is darja ro ki
tālāb ban jaa.e jhiil
tū ai chhoTī-moTī pahāḌī
pighalte hue ġham ke laave ko siine meñ apne
chhupā.e rakhegī to kab tak
tū ro is qadar ro
ki ye jhiil jo tere dāman meñ hai
az-karāñ tā-karāñ phail jaa.e
tū ai āsmāñ chhūne vaale pahāḌ
tire dard kī aañch maddham huī hai kahāñ
ro bahut tez ro
ki ban jaa.e dariyā samandar
athāh aur be-pāyāñ samandar
mirā mashvara
lakka-e-abr chhoTī pahāḌī
buland āsmāñ chhūne vaale pahāḌoñ ko
ashkoñ se
nahlā.egā
aur maiñ
apnī hī aag meñ andar andar
pighal jā.ūñgā
tu ai lakka-e-abr
tere badan ke musamat KHaliyon mein
zahr-e-alam is tarah ghul raha hai ki
tera ek ek ang nila hua hai
tu is darja ro ki
talab ban jae jhil
tu ai chhoTi-moTi pahaDi
pighalte hue gham ke lawe ko sine mein apne
chhupae rakhegi to kab tak
tu ro is qadar ro
ki ye jhil jo tere daman mein hai
az-karan ta-karan phail jae
tu ai aasman chhune wale pahaD
tere dard ki aanch maddham hui hai kahan
ro bahut tez ro
ki ban jae dariya samandar
athah aur be-payan samandar
mera mashwara
lakka-e-abr chhoTi pahaDi
buland aasman chhune wale pahaDon ko
ashkon se
nahlaega
aur main
apni hi aag mein andar andar
pighal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.