la-intiha abhi
na jaane vo log gum kahāñ haiñ
chhalak rahī thī
falak ke sāġhar se rahmat-e-haq kī tund sahbā
fazā-e-ayyām meñ mohabbat kī fāḳhtā.eñ bhī
pañkh phailā.e uḌ rahī thiiñ
dayār-e-jarmāñ meñ jhāñktī thiiñ
ummīd-e-fardā kī narm kirneñ
magar ye āshob-e-vaqt kā hai asar ki jis se
jhulas ga.e haiñ tasavvuroñ ke hasīn chehre
fazā bhī ḳhāmosh ruuh betāb
duur mandir ke devtā chup
dhaḌakte dil kī ye sansanāhaT
khisakte pattoñ kī sarsarāhaT
paḌe haiñ ḳhāmosh khokhle mandiroñ ke nāqūs
bujhe paḌe haiñ tamaddunoñ ke hasīn fānūs
yahāñ ajantā kā aur konark kā
fann-e-taḳhlīq hichkiyāñ le rahā hai paiham
yahāñ to ab saumoñ meñ aur masjidoñ meñ
ghar kar chuke haiñ taḳhrīb ke abābīl
nafas nafas meñ ghuTan kā jazba
ragoñ meñ talḳhī hai zahr-e-ġham kī
bhaTakte rahne ko ab ḳhalā ke sivā nahīñ kuchh
ga.e the jo log us taraf se
unhīñ kā hai intizār ham ko
vo ā.eñge kab vo ā.eñge kab
yahāñ ahinsā ko ghun lagā hai
yahāñ mohabbat kī vādiyoñ meñ ugī hai kaa.ī
payām-e-insāniyat ko goyā lagī hai dīmak
vo dard-e-dil kī laveñ
jo misl-e-charāġh jaltī rahī thiiñ sadiyoñ
na jaane kyuuñ aaj bujh chukī haiñ
nazar ko dhuñdlā rahī hai kyuuñ duur kī siyāhī
ga.e the kuchh log jo udhar se
unhīñ kā hai intizār ham ko
falak ke lā-intihā abhī maiñ
na jaane vo log gum kahāñ haiñ
na jaane wo log gum kahan hain
chhalak rahi thi
falak ke saghar se rahmat-e-haq ki tund sahba
faza-e-ayyam mein mohabbat ki faKHtaen bhi
pankh phailae uD rahi thin
dayar-e-jarman mein jhankti thin
ummid-e-farda ki narm kirnen
magar ye aashob-e-waqt ka hai asar ki jis se
jhulas gae hain tasawwuron ke hasin chehre
faza bhi KHamosh ruh betab
dur mandir ke dewta chup
dhaDakte dil ki ye sansanahaT
khisakte patton ki sarsarahaT
paDe hain KHamosh khokhle mandiron ke naqus
bujhe paDe hain tamaddunon ke hasin fanus
yahan ajanta ka aur konark ka
fann-e-taKHliq hichkiyan le raha hai paiham
yahan to ab saumon mein aur masjidon mein
ghar kar chuke hain taKHrib ke ababil
nafas nafas mein ghuTan ka jazba
ragon mein talKHi hai zahr-e-gham ki
bhaTakte rahne ko ab KHala ke siwa nahin kuchh
gae the jo log us taraf se
unhin ka hai intizar hum ko
wo aaenge kab wo aaenge kab
yahan ahinsa ko ghun laga hai
yahan mohabbat ki wadiyon mein ugi hai kai
payam-e-insaniyat ko goya lagi hai dimak
wo dard-e-dil ki lawen
jo misl-e-charagh jalti rahi thin sadiyon
na jaane kyun aaj bujh chuki hain
nazar ko dhundla rahi hai kyun dur ki siyahi
gae the kuchh log jo udhar se
unhin ka hai intizar hum ko
falak ke la-intiha abhi main
na jaane wo log gum kahan hain
- Book : sheerazah (Pg. 98)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.