Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

la-intiha abhi

Karamat Ali Karamat

la-intiha abhi

Karamat Ali Karamat

MORE BYKaramat Ali Karamat

    na jaane vo log gum kahāñ haiñ

    chhalak rahī thī falak ke sāġhar se rahmat-e-haq tund sahbā

    fazā-e-ayyām meñ mohabbat fāḳhtā.eñ bhī pankh phailā.e uḌ rahī thiiñ

    dayār-e-hirmāñ meñ jhāñktī thiiñ umīd-e-fardā narm kirneñ

    magar ye āshob-e-vaqt hai asar ki jis se

    jhulas ga.e haiñ tasavvuroñ ke hasīn chehre

    fazā bhī ḳhāmosh ruuh betāb duur mandir ke devtā chup

    dhaḌakte dil ye sansanāhaT

    khisakte pattoñ sarsarāhaT

    kisī ke qadmoñ jaise aahaT

    paḌe haiñ ḳhāmosh khokhle mandiroñ ke nāqūs

    bujhe paḌe haiñ tamaddunoñ ke hasīn fānūs

    yahāñ ajantā aur konārk fann-e-taḳhlīq hichkiyāñ le rahā hai paiham

    yahāñ to ab saume'oñ meñ aur masjidoñ meñ ghar kar chuke haiñ taḳhrīb ke abābīl

    nafas-nafas meñ ghuTan jazba

    ragoñ meñ talḳhī hai zahr-e-ġham

    bhaTakte rahne ko ab ḳhalā ke sivā nahīñ kuchh

    ga.e the jo log is taraf se

    unhīñ hai intizār ham ko

    vo ā.eñge kab vo ā.eñge kab

    yahāñ ahinsā ko ghun lagā hai

    yahāñ mohabbat vādiyoñ meñ ugī hai kaa.ī

    payām-e-insāniyat pe goyā lagī hai dīmak

    vo dard-e-dil laveñ jo misl-e-charāġh jaltī rahī thiiñ sadiyoñ

    na jaane kyoñ aaj bujh chukī haiñ

    nazar ko dhuñdlā rahī hai kyoñ duur siyāhī

    ga.e the kuchh log jo idhar se unhīñ hai intizār ham ko

    falak ke lā-intihā abhī meñ

    na jaane vo log gum kahāñ haiñ

    na jaane wo log gum kahan hain

    chhalak rahi thi falak ke saghar se rahmat-e-haq ki tund sahba

    faza-e-ayyam mein mohabbat ki faKHtaen bhi pankh phailae uD rahi thin

    dayar-e-hirman mein jhankti thin umid-e-farda ki narm kirnen

    magar ye aashob-e-waqt ka hai asar ki jis se

    jhulas gae hain tasawwuron ke hasin chehre

    faza bhi KHamosh ruh betab dur mandir ke dewta chup

    dhaDakte dil ki ye sansanahaT

    khisakte patton ki sarsarahaT

    kisi ke qadmon ki jaise aahaT

    paDe hain KHamosh khokhle mandiron ke naqus

    bujhe paDe hain tamaddunon ke hasin fanus

    yahan ajanta ka aur konark ka fann-e-taKHliq hichkiyan le raha hai paiham

    yahan to ab saume'on mein aur masjidon mein ghar kar chuke hain taKHrib ke ababil

    nafas-nafas mein ghuTan ka jazba

    ragon mein talKHi hai zahr-e-gham ki

    bhaTakte rahne ko ab KHala ke siwa nahin kuchh

    gae the jo log is taraf se

    unhin ka hai intizar hum ko

    wo aaenge kab wo aaenge kab

    yahan ahinsa ko ghun laga hai

    yahan mohabbat ki wadiyon mein ugi hai kai

    payam-e-insaniyat pe goya lagi hai dimak

    wo dard-e-dil ki lawen jo misl-e-charagh jalti rahi thin sadiyon

    na jaane kyon aaj bujh chuki hain

    nazar ko dhundla rahi hai kyon dur ki siyahi

    gae the kuchh log jo idhar se unhin ka hai intizar hum ko

    falak ke la-intiha abhi mein

    na jaane wo log gum kahan hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now