la-makan
bichhā.e ḳhaak kā bistar lapeTe raah kī gard
takallufāt ke aalam meñ sar-ba-sang hai vo
rah-e-hayāt meñ har lamha mahv-e-jañg hai vo
tamām jism basā hai mahak se gaare kī
gamak rahe haiñ pasīne ke itr se kapḌe
ye vo hai likhtā hai qismat jo haft tāroñ kī
ye vo hai jo ki banātā rahā hai tāj-mahal
ḳhudā ne dī hai ise be-niyāzī ujrat meñ
makāñ banātā hai lekin saḌak pe rahtā hai
bichhae KHak ka bistar lapeTe rah ki gard
takallufat ke aalam mein sar-ba-sang hai wo
rah-e-hayat mein har lamha mahw-e-jang hai wo
tamam jism basa hai mahak se gare ki
gamak rahe hain pasine ke itr se kapDe
ye wo hai likhta hai qismat jo haft taron ki
ye wo hai jo ki banata raha hai taj-mahal
KHuda ne di hai ise be-niyazi ujrat mein
makan banata hai lekin saDak pe rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.