la-talluq
mere jism kī tarah
mujh se tum lā-ta.alluq ho na jaanā
mujhe tum shelf meñ paḌī
udaas kitāb ke badan meñ
chhupā to doge
magar jab udāsī had se baḌhne lage
mujhe tum likhnā chāho
to alfāz ke chunāv meñ
vaqt kī Dorī TuuT na jaa.e
ḳhayāl rakhnā
qalam meñ siyāhī bhar lenā
magar itnī bhī nahīñ
ki añdherā ghup añdherā
ho jaa.e sab kuchh merā
mere jism ki tarah
mujh se tum la-talluq ho na jaana
mujhe tum shelf mein paDi
udas kitab ke badan mein
chhupa to doge
magar jab udasi had se baDhne lage
mujhe tum likhna chaho
to alfaz ke chunaw mein
waqt ki Dori TuT na jae
KHayal rakhna
qalam mein siyahi bhar lena
magar itni bhi nahin
ki andhera ghup andhera
ho jae sab kuchh mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.