la-tayyun
ajab peḌ the vo
ki chhitnār chhāyā bhī
jhulsā rahī thī
vo kyā sarzamīñ thī
jo peḌoñ ke nīche se
khiske chale jā rahī thī
bahut be-ta.ayyun sī
samteñ bujhī thiiñ
nigāhoñ ke aage
ḳhalāoñ sī vīrāñ
vo koī fazā thī
kisī had-e-imkāñ kā āġhāz thā
yā kisī be-zamānī kī vo intihā thī
ajab peD the wo
ki chhitnar chhaya bhi
jhulsa rahi thi
wo kya sarzamin thi
jo peDon ke niche se
khiske chale ja rahi thi
bahut be-tayyun si
samten bujhi thin
nigahon ke aage
KHalaon si viran
wo koi faza thi
kisi had-e-imkan ka aaghaz tha
ya kisi be-zamani ki wo intiha thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.