la-yaniyat
zindagī sher kā mauzūa to ho saktī hai
sher ke aur jo unvāñ haiñ agar vo na raheñ
is pe kyā bahs kareñ
bahs phir bahs hai
aurat pe ho lauñDe pe ho yā jins pe ho
bahs phir bahs hai
aḳhlāq par maz.hab pe ho yā falsafa-e-science pe ho
bahs phir bahs hai
zindagī aur ajal pe ho yā ḳhud sher pe ho
bahs kis darja hai lā-yānī shai
bahs jo ho na sakī maañ se ki vo maañ hai mirī
aur beTe se ki beTā hai mirā
aur nahīñ jānte ham donoñ bhī
maiñ bhī beTā bhī mirā
kis kī aulād haiñ ham
bahs kis darja hai lā-yānī shai
pūchho us ruuh se us jism se ḳhalvat meñ kabhī
jo lafz sochtā rahtā hai yahī
zindagī kis tarah kaaTī jaa.e
zindagi sher ka mauzua to ho sakti hai
sher ke aur jo unwan hain agar wo na rahen
is pe kya bahs karen
bahs phir bahs hai
aurat pe ho launDe pe ho ya jins pe ho
bahs phir bahs hai
aKHlaq par mazhab pe ho ya falsafa-e-science pe ho
bahs phir bahs hai
zindagi aur ajal pe ho ya KHud sher pe ho
bahs kis darja hai la-yani shai
bahs jo ho na saki man se ki wo man hai meri
aur beTe se ki beTa hai mera
aur nahin jaante hum donon bhi
main bhi beTa bhi mera
kis ki aulad hain hum
bahs kis darja hai la-yani shai
puchho us ruh se us jism se KHalwat mein kabhi
jo lafz sochta rahta hai yahi
zindagi kis tarah kaTi jae
- Book : shab-khoon(shumara-number-35) (Pg. 26)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.