muhīb lambe ghane peḌoñ kī harī shāḳheñ
kabhī kabhī koī ashlok gungunātī thiiñ
kabhī kabhī kisī patte kā dil dhaḌaktā thā
kabhī kabhī koī koñpal darūd paḌhtī thī
kabhī kabhī koī jugnū alakh jagātā thā
kabhī kabhī koī taa.ir havā se laḌtā thā
kabhī kabhī koī parchhā.īñ chīḳh paḌtī thī
aur is ke ba.ad mirī aañkh khul ga.ī maiñ ne
sirhāne rakkhe hue taaza roz-nāme kī
har ek satr baḌe ġhaur se paḌhī lekin
ḳhabar kahīñ bhī kisī aise hādse kī na thī
aur is ke ba.ad maiñ dīvāna-vār hañsne lagā
aur is ke ba.ad har ik samt lā-zavāl sukūt
aur is ke ba.ad har ik samt lā-zavāl sukūt
muhib lambe ghane peDon ki hari shaKHen
kabhi kabhi koi ashlok gungunati thin
kabhi kabhi kisi patte ka dil dhaDakta tha
kabhi kabhi koi konpal darud paDhti thi
kabhi kabhi koi jugnu alakh jagata tha
kabhi kabhi koi tair hawa se laDta tha
kabhi kabhi koi parchhain chiKH paDti thi
aur is ke baad meri aankh khul gai main ne
sirhane rakkhe hue taza roz-name ki
har ek satr baDe ghaur se paDhi lekin
KHabar kahin bhi kisi aise hadse ki na thi
aur is ke baad main diwana-war hansne laga
aur is ke baad har ek samt la-zawal sukut
aur is ke baad har ek samt la-zawal sukut
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 93)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.