lajwanti
jis ke pahlū meñ bāġh-e-jannat hai
us ke pahlū se uTh ke aayā huuñ
jis ke pahlū meñ aag jaltī hai
us ke pahlū meñ jal ke dekhā hai
jis ke pahlū meñ barf jamtī hai
us ko apnī harārateñ de kar
maiñ ne paanī banā diyā lekin
zindagī tum ko sharm aatī hai
merī mahbūb ho ga.ī kab se
mujh se mansūb ho ga.ī kab se
tum ne kaaTī fasādiyoñ ke saath
kab qayāmat ke jaisī bhārī raat
rāhatoñ kā bhī camp hotā hai
tum ko ma.alūm hī nahīñ shāyad
mere pahlū meñ aa ke leTī ho
tum mirī ḳhvāb-gāh jaisī ho
phir bhī chhūne se Dar rahā huuñ maiñ
aur har lamha mar rahā huuñ maiñ
sach kahūñ tum to lājvantī ho
jis ke pahlu mein bagh-e-jannat hai
us ke pahlu se uTh ke aaya hun
jis ke pahlu mein aag jalti hai
us ke pahlu mein jal ke dekha hai
jis ke pahlu mein barf jamti hai
us ko apni hararaten de kar
main ne pani bana diya lekin
zindagi tum ko sharm aati hai
meri mahbub ho gai kab se
mujh se mansub ho gai kab se
tum ne kaTi fasadiyon ke sath
kab qayamat ke jaisi bhaari raat
rahaton ka bhi camp hota hai
tum ko malum hi nahin shayad
mere pahlu mein aa ke leTi ho
tum meri KHwab-gah jaisi ho
phir bhi chhune se Dar raha hun main
aur har lamha mar raha hun main
sach kahun tum to lajwanti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.