lal bag uD gaya
ta.ām-gāhoñ kī
bachī-khuchī ġhizā pe pal rahā thā
nam-zada shagāfoñ
ghun lage darāzoñ meñ
chhupā huā
vo mutma.in thā
ġhair-mar.ī nāliyoñ se
main hol tak
ġhalāzateñ bahā ke laane vaalī
sust o tez
saarī linoñ meñ ghūmtā thā
ek roz
hast kī girah meñ
us kī lāñbī Taañg
ik anokhe pech meñ ulajh ga.ī
to Tiis dard kī uThī
vajūd phaḌphaḌā gayā
jhaTak ke Taañg
pech se nikāl lī
to ek dam use lagā
ki us kī dastaras meñ par bhī haiñ
ajiib sāniya thā
pāniyoñ kī haul-nāk bū meñ
kiich kī umas meñ
donoñ vaqt mil rahe the
hāla-e-nafas meñ
dhīre dhīre us ke
sandalīñ sunahrī par bhī hil rahe the!
laal bag
jo shurūa din se
maut aur zindagī
safā.ī aur gandagī
nikāsī-e-vajūd
ḳhair o shar
ravānī o jumūd ke muāmalāt meñ ghirā huā thā
ḳhāk-rūboñ, mehtaroñ ke saath
kā.enātī moriyoñ zamānī bad-rūoñ meñ
rahte rahte tañg aa gayā thā
rāste ke biich hī se muḌ gayā
achānak ek roz
laal bag uḌ gayā!!
taam-gahon ki
bachi-khuchi ghiza pe pal raha tha
nam-zada shagafon
ghun lage daraazon mein
chhupa hua
wo mutmain tha
ghair-mari naliyon se
main hol tak
ghalazaten baha ke lane wali
sust o tez
sari linon mein ghumta tha
ek roz
hast ki girah mein
us ki lanbi Tang
ek anokhe pech mein ulajh gai
to Tis dard ki uThi
wajud phaDphaDa gaya
jhaTak ke Tang
pech se nikal li
to ek dam use laga
ki us ki dastaras mein par bhi hain
ajib saniya tha
paniyon ki haul-nak bu mein
kich ki umas mein
donon waqt mil rahe the
haala-e-nafas mein
dhire dhire us ke
sandalin sunahri par bhi hil rahe the!
lal bag
jo shurua din se
maut aur zindagi
safai aur gandagi
nikasi-e-wajud
KHair o shar
rawani o jumud ke muamalat mein ghira hua tha
KHak-rubon, mehtaron ke sath
kaenati moriyon zamani bad-ruon mein
rahte rahte tang aa gaya tha
raste ke bich hi se muD gaya
achanak ek roz
lal bag uD gaya!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.