lal-bahadur-shastari
shahīd-e-qaum hai koī koī shahīd-e-vatan
bajā hai tujh ko kahūñ maiñ agar shahīd-e-vatan
talāsh-e-amn meñ dillī se tāshqand gayā
kise ḳhabar thī ki bāñdhe huā thā sar se kafan
payām-e-amn diyā jārhān-e-ālam ko
gayā sañvār ke duniyā kī zindagī kā chalan
kise majāl tirī baat koī kaaT sake
dalīl terī mo.assir to pur asar hai suḳhan
miThās baat meñ aisī ki raam ahl-e-jahāñ
tirī zabān thī qand-o-nabāt kā maḳhzan
thī ustuvār mohabbat terī dostī kī asaas
fazā-e-dahr meñ koī na thā tirā dushman
tū ek banda-e-darvesh thā faqīr-manash
chalā gayā jo zamāne se jhaaḌ kar dāman
tire ḳhulūs kā qaa.il hai sadr-e-pākistāñ
kahāñ se sīkhā thā tū ne ye guftugū kā fan
zamāne-bhar meñ huā har taraf tirā mātam
muhīt saare jahāñ ko hue haiñ rañj-o-mehan
qubūl ham ko kiye tū ne jis qadar paimāñ
hai terī ruuh hamāre diloñ pe sāya-fagan
hai sharq-o-ġharb meñ qaa.il har ek shaḳhs tirā
vazīfa-ḳhvāñ-o-sanā-gar tire shumāl-o-dakan
shahid-e-qaum hai koi koi shahid-e-watan
baja hai tujh ko kahun main agar shahid-e-watan
talash-e-amn mein dilli se tashqand gaya
kise KHabar thi ki bandhe hua tha sar se kafan
payam-e-amn diya jarhan-e-alam ko
gaya sanwar ke duniya ki zindagi ka chalan
kise majal teri baat koi kaT sake
dalil teri moassir to pur asar hai suKHan
miThas baat mein aisi ki ram ahl-e-jahan
teri zaban thi qand-o-nabaat ka maKHzan
thi ustuwar mohabbat teri dosti ki asas
faza-e-dahr mein koi na tha tera dushman
tu ek banda-e-darwesh tha faqir-manash
chala gaya jo zamane se jhaD kar daman
tere KHulus ka qail hai sadr-e-pakistan
kahan se sikha tha tu ne ye guftugu ka fan
zamane-bhar mein hua har taraf tera matam
muhit sare jahan ko hue hain ranj-o-mehan
qubul hum ko kiye tu ne jis qadar paiman
hai teri ruh hamare dilon pe saya-fagan
hai sharq-o-gharb mein qail har ek shaKHs tera
wazifa-KHwan-o-sana-gar tere shumal-o-dakan
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 380)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.