lalach buri bala hai
tuut kā peḌ thā baḌā hī ghanā
ḳhuub phailāo shāndār tanā
phal thā itnā lagā huā us meñ
jhukī paḌtī thiiñ bojh se shāḳheñ
tilyaroñ kā ik aa gayā jhallaḌ
baiThte hī machā diyā hullaḌ
kuchh to phal khā ke uḌ ga.e tilyar
kuchh jo peTū the nīche aa.e utar
Dheroñ dekhā jo phal paḌā nīche
tuut ko dekhte hī TuuT paḌe
maze le le ke khā rahe the phal
itne meñ shor uThā machī halchal
jaal khīñchā jūñhī shikārī ne
phañs ga.e tilyar us meñ bechāre
chīḳhne aur phaḌphaḌāne lage
āsmāñ sar pe vo uThāne lage
aadmī tiin chaar aa pahuñche
jin ke hāthoñ meñ tez chāqū the
rakh diye zab.h kar ke sab tilyar
ghar ko phir chal diye vo ḳhush ho kar
aah lālach burī balā hai bachcho
us ke saa.e se bhāgnā bachcho
lālchī jo hoñ rahte haiñ nākām
tilyaroñ hī kā dekh lo anjām
kar ke lālach na bach sakā koī
tuut ke badle jaan hī khoī
tut ka peD tha baDa hi ghana
KHub phailao shandar tana
phal tha itna laga hua us mein
jhuki paDti thin bojh se shaKHen
tilyaron ka ek aa gaya jhallaD
baiThte hi macha diya hullaD
kuchh to phal kha ke uD gae tilyar
kuchh jo peTu the niche aae utar
Dheron dekha jo phal paDa niche
tut ko dekhte hi TuT paDe
maze le le ke kha rahe the phal
itne mein shor uTha machi halchal
jal khincha junhi shikari ne
phans gae tilyar us mein bechaare
chiKHne aur phaDphaDane lage
aasman sar pe wo uThane lage
aadmi tin chaar aa pahunche
jin ke hathon mein tez chaqu the
rakh diye zabh kar ke sab tilyar
ghar ko phir chal diye wo KHush ho kar
aah lalach buri bala hai bachcho
us ke sae se bhagna bachcho
lalchi jo hon rahte hain nakaam
tilyaron hi ka dekh lo anjam
kar ke lalach na bach saka koi
tut ke badle jaan hi khoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.