lalach ka phal
ik muflis ke chaar the bachche
daal aur roTī jau khāte the
khāte usī ko samajh ke ne.amat
lab pe na laate koī shikāyat
lekin un meñ ik laḌkā thā
us ko na bhāyā aisā khānā
ik laḌke kā dost banā vo
daulat-mand bahut kuchh thā vo
us ke ghar ko aatā jaatā
umda umda khāne khātā
lekin apne dost se us kī
ik din ho ga.ī an-ban koī
dost ne itnā maarā piiTā
daañt gire ḳhuuñ muñh se niklā
us dam us ko hosh ye aayā
hirs kā ye in.aam hai paayā
apne hāthoñ khoī izzat
aur uThā.ī aisī zillat
sach hai buzurgoñ kā ye kahnā
lālach se tum duur hī rahnā
mile jo daal aur roTī khaao
shikva lab pe na 'jauhar' laao
ek muflis ke chaar the bachche
dal aur roTi jau khate the
khate usi ko samajh ke neamat
lab pe na late koi shikayat
lekin un mein ek laDka tha
us ko na bhaya aisa khana
ek laDke ka dost bana wo
daulat-mand bahut kuchh tha wo
us ke ghar ko aata jata
umda umda khane khata
lekin apne dost se us ki
ek din ho gai an-ban koi
dost ne itna mara piTa
dant gire KHun munh se nikla
us dam us ko hosh ye aaya
hirs ka ye inam hai paya
apne hathon khoi izzat
aur uThai aisi zillat
sach hai buzurgon ka ye kahna
lalach se tum dur hi rahna
mile jo dal aur roTi khao
shikwa lab pe na 'jauhar' lao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.