lao hath apna lao zara
laao haath apnā laao zarā
chhū ke merā badan
apne bachche ke dil kā dhḌaknā suno
naaf ke us taraf
us kī jumbish ko mahsūs karte ho tum
bas yahīñ chhoḌ do
thoḌī der aur us haath ko mere ThanDe badan par yahīñ chhoḌ do
mere be-kal nafas ko qarār aa gayā
mere iisā mire dard ke chāragar
merā har mū-e-tan
us hathelī se taskīn paane lagā
us hathelī ke nīche mirā laal karvaT sī lene lagā
uñgliyoñ se badan us kā pahchān lo
tum use jaan lo
chūmne do mujhe apnī ye uñgliyāñ
un kī har por ko chūmne do mujhe
nāḳhunoñ ko laboñ se lagā luuñ zarā
phuul laatī huī ye harī uñgliyāñ
merī āñkhoñ se aañsū ubalte hue
un se sīñchūñgī meñ
phuul laatī huī uñgliyoñ kī jaḌeñ chūmne do mujhe
apne baal apne māthe kā chāñd apne lab
ye chamaktī huī kaalī āñkheñ
mire kāñpte hoñT merī chhalaktī huī aañkh ko dekh kar kitnī hairān haiñ
tum ko ma.alūm kyā tum ko ma.alūm kyā
tum ne jaane mujhe kyā se kyā kar diyā
mere andar añdhere kā aaseb thā
yā karāñ tā karāñ ek anmiT ḳhalā
yūñhī phirtī thī maiñ
ziist ke zā.iqe ko tarastī huī
dil meñ aañsū bhare sab pe hañstī huī
tum ne andar mirā is tarah bhar diyā
phūTtī hai mire jism se raushnī
sab muqaddas kitābeñ jo nāzil huiiñ
sab payambar jo ab tak utāre ga.e
sab farishte ki haiñ bādaloñ se pare
rañg sañgīt sar phuul kaliyāñ shajar
sub.h-dam peḌ kī jhūmtī Dāliyāñ
un ke mafhūm jo bhī batā.e ga.e
ḳhaak par basne vaale bashar ko masarrat ke jitne bhī naġhme sunā.e ga.e
sab rishī sab munī ambiyā auliyā
ḳhair ke devtā husn nekī ḳhudā
aaj sab par mujhe
e'tibār aa gayā e'tibār aa gayā
Come, give me your hand
lao hath apna lao zara
chhu ke mera badan
apne bachche ke dil ka dhDakna suno
naf ke us taraf
us ki jumbish ko mahsus karte ho tum
bas yahin chhoD do
thoDi der aur us hath ko mere ThanDe badan par yahin chhoD do
mere be-kal nafas ko qarar aa gaya
mere isa mere dard ke chaaragar
mera har mu-e-tan
us hatheli se taskin pane laga
us hatheli ke niche mera lal karwaT si lene laga
ungliyon se badan us ka pahchan lo
tum use jaan lo
chumne do mujhe apni ye ungliyan
un ki har por ko chumne do mujhe
naKHunon ko labon se laga lun zara
phul lati hui ye hari ungliyan
meri aankhon se aansu ubalte hue
un se sinchungi mein
phul lati hui ungliyon ki jaDen chumne do mujhe
apne baal apne mathe ka chand apne lab
ye chamakti hui kali aankhen
mere kanpte honT meri chhalakti hui aankh ko dekh kar kitni hairan hain
tum ko malum kya tum ko malum kya
tum ne jaane mujhe kya se kya kar diya
mere andar andhere ka aaseb tha
ya karan ta karan ek anmiT KHala
yunhi phirti thi main
zist ke zaiqe ko tarasti hui
dil mein aansu bhare sab pe hansti hui
tum ne andar mera is tarah bhar diya
phuTti hai mere jism se raushni
sab muqaddas kitaben jo nazil huin
sab payambar jo ab tak utare gae
sab farishte ki hain baadalon se pare
rang sangit sar phul kaliyan shajar
subh-dam peD ki jhumti Daliyan
un ke mafhum jo bhi batae gae
KHak par basne wale bashar ko masarrat ke jitne bhi naghme sunae gae
sab rishi sab muni ambiya auliya
KHair ke dewta husn neki KHuda
aaj sab par mujhe
e'tibar aa gaya e'tibar aa gaya
Come, give me your hand
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 320)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.