lapata
ūñchī ūñchī imāratoñ meñ mere hisse kā āsmān lāpata
masrūf se is shahr meñ jism to haiñ insān lāpata
sunte the kabhī milā karte the jahāñ dil ke badle dil
tere is shahr meñ ab ishq kī hai vo dukān lāpata
is shahr meñ but-kade bhī haiñ aur masjideñ bhī tamām
insān kī fitrat dekh kar hue haiñ bhagvān lāpata
vaah rī jamhūriyat ham jinheñ sauñpte haiñ mulk apnā
unmeñ aql hai hoshiyārī hai tāqat hai bas īmān lāpata
na jaane kaun sī bijlī girī ki uḌnā bhuul gayā
mere dil ke armānoñ ke par to haiñ par uḌaan lāpata
unchi unchi imaraton mein mere hisse ka aasman lapata
masruf se is shahr mein jism to hain insan lapata
sunte the kabhi mila karte the jahan dil ke badle dil
tere is shahr mein ab ishq ki hai wo dukan lapata
is shahr mein but-kade bhi hain aur masjiden bhi tamam
insan ki fitrat dekh kar hue hain bhagwan lapata
wah ri jamhuriyat hum jinhen saunpte hain mulk apna
unmen aql hai hoshiyari hai taqat hai bas iman lapata
na jaane kaun si bijli giri ki uDna bhul gaya
mere dil ke armanon ke par to hain par uDan lapata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.