Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lapata

Komal Raja

lapata

Komal Raja

MORE BYKomal Raja

    kyā tum bhī kal se lāpatā ho

    shahr-e-hazīñ ke har qarye meñ

    merī gumshudagī ḳhabar

    kisī be-mausamī āñdhī tarah chal rahī hai

    raaj nagar ke raaja ne merī talāsh meñ

    apne payāde dauḌā diye haiñ

    aur bastī ke sabhī purohit merī havelī ke bāhar mātam-kunāñ haiñ

    kal shaam ke jhuTpuTe meñ raat girne se pahle

    ham donoñ ko haath thāme barf-zāroñ meñ chalte kisī ne nahīñ dekhā

    aur maiñ ne apnī khiḌkī se duur pahāḌoñ ke pīchhe ojhal hote sūraj ko tanhā dekhā

    us āḳhirī kiran merī hathelī par aag tarah jalne lagī

    to mere ranjīda dil ne tumheñ yaad kiyā

    aur is udāsī meñ maiñ ne ḳhud ko mohabbat se sarshār paayā

    mujhe lagā tumhārī niilī āstīñ button

    mere bāloñ se ulajh paḌā hai

    aur mere joḌe se ek motī TuuT ke girā hai

    mujhe yuuñ lagā jhiil ke billorīñ pāniyoñ meñ

    mere chehre pe tumhārā aks paḌā hai

    agar vo tum nahīñ the to aur kaun thā

    vo jo bhī thā mujh se kah rahā thā

    kyā tum bhī kal se lāpata ho

    merī talāsh nishān-dahī meñ log batā rahe haiñ

    ki tum ko āḳhirī baar kahāñ sunā dekhā gayā

    kyā kisī ne raaja ko batā diyā

    ki tum ko āḳhirī baar

    urdu zabāñ meñ sher kahte

    merī āñkhoñ ke ābgīnoñ meñ dekhā gayā

    kya tum bhi kal se lapata ho

    shahr-e-hazin ke har qarye mein

    meri gumshudagi ki KHabar

    kisi be-mausami aandhi ki tarah chal rahi hai

    raj nagar ke raja ne meri talash mein

    apne payaade dauDa diye hain

    aur basti ke sabhi purohit meri haweli ke bahar matam-kunan hain

    kal sham ke jhuTpuTe mein raat girne se pahle

    hum donon ko hath thame barf-zaron mein chalte kisi ne nahin dekha

    aur main ne apni khiDki se dur pahaDon ke pichhe ojhal hote suraj ko tanha dekha

    us ki aaKHiri kiran meri hatheli par aag ki tarah jalne lagi

    to mere ranjida dil ne tumhein yaad kiya

    aur is udasi mein main ne KHud ko mohabbat se sarshaar paya

    mujhe laga tumhaari nili aastin ka button

    mere baalon se ulajh paDa hai

    aur mere joDe se ek moti TuT ke gira hai

    mujhe yun laga jhil ke billorin paniyon mein

    mere chehre pe tumhaara aks paDa hai

    agar wo tum nahin the to aur kaun tha

    wo jo bhi tha mujh se kah raha tha

    kya tum bhi kal se lapata ho

    meri talash ki nishan-dahi mein log bata rahe hain

    ki tum ko aaKHiri bar kahan suna dekha gaya

    kya kisi ne raja ko bata diya

    ki tum ko aaKHiri bar

    urdu zaban mein sher kahte

    meri aankhon ke aabginon mein dekha gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now