lapata
maiñ lāpatā ho gayā huuñ
ka.ī hafte hue
police ko report likhvā.e
tab se roz thāne jaatā huuñ
havaldār se pūchhtā huuñ
merā kuchh patā chalā
hamdard police afsar māyūsī se sar hilātā hai
phañsī phañsī āvāz meñ kahtā hai
abhī tak tumhārā kuchh surāġh nahīñ milā
phir vo tasallī detā hai
kisī na kisī din
tum mil hī jāoge
behosh
kisī saḌak ke kināre
yā burī tarah zaḳhmī
kisī aspatāl meñ
yā laash kī sūrat
kisī nadī meñ
merī āñkhoñ meñ aañsū aa jaate haiñ
maiñ bāzār chalā jaatā huuñ
apnā istiqbāl karne ke liye
gul-farosh se phuul ḳharīdtā huuñ
apne zaḳhmoñ ke liye
chemist se
marham-paTTī kā sāmān
thoḌī ruuī
aur dard-kushā goliyāñ
apnī āḳhirī rusūmāt ke liye
masjid kī dukān se ek kafan
aur apnī yaad manāne ke liye
ka.ī mom-battiyāñ
kuchh log kahte haiñ
kisī ke marne par
mom-battī nahīñ jalānī chāhiye
lekin vo ye nahīñ batāte
ki aañkh kā taara lāpatā ho jaa.e
to raushnī kahāñ se laa.eñ
ghar kā charāġh bujh jaa.e
to phir kyā jalā.eñ
main lapata ho gaya hun
kai hafte hue
police ko report likhwae
tab se roz thane jata hun
hawaldar se puchhta hun
mera kuchh pata chala
hamdard police afsar mayusi se sar hilata hai
phansi phansi aawaz mein kahta hai
abhi tak tumhaara kuchh suragh nahin mila
phir wo tasalli deta hai
kisi na kisi din
tum mil hi jaoge
behosh
kisi saDak ke kinare
ya buri tarah zaKHmi
kisi aspatal mein
ya lash ki surat
kisi nadi mein
meri aankhon mein aansu aa jate hain
main bazar chala jata hun
apna istiqbaal karne ke liye
gul-farosh se phul KHaridta hun
apne zaKHmon ke liye
chemist se
marham-paTTi ka saman
thoDi rui
aur dard-kusha goliyan
apni aaKHiri rusumat ke liye
masjid ki dukan se ek kafan
aur apni yaad manane ke liye
kai mom-battiyan
kuchh log kahte hain
kisi ke marne par
mom-batti nahin jalani chahiye
lekin wo ye nahin batate
ki aankh ka tara lapata ho jae
to raushni kahan se laen
ghar ka charagh bujh jae
to phir kya jalaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.