lab-e-tanur
maiñ aksar raat kī tanhā.ī se ye pūchhtā huuñ
ki merā aaj mere kal se kyūñkar muḳhtalif hai
vahī maiñ huuñ vahī dīvāngī hai
vahī vahshat vahī fikr-e-ma.īshat
ye bechainī ye vīrānī
mujhe kyuuñ khaa.e jaatī hai
magar jazboñ se aarī dard se ġhāfil ye tanhā.ī
sadā ḳhāmosh rahtī hai
mujhe lagtā hai tanhā.ī
faqat bahrī nahīñ gūñgī bhī hai shāyad
vahī gambhīr sannāTā vahī vīrān tārīkī
bhalā tanhā.ī bhī kuchh boltī hai
magar badlī se aksar
chāñd apnā sar nikāle
mujhe āvāz de kar pūchhtā hai
ki dīvāne tū ab tak jāgtā hai
ye kaisī fikr-e-roz-o-shab
ye kaisī girya-zārī
sulagtī dhīme dhīme
raakh bantī raat
āḳhir kaT hī jā.egī
magar tū koī tājir hai
na sāhūkār na baniyā
to phir kyuuñ āj-kal meñ bāñTtā hai
dard kī daulat
ye vo saudā nahīñ
jo har kisī ko raas aa jaa.e
kaThin ho yā pur-āsā.ish magar ye raat guzregī
''shab-e-simvar guzasht lab-e-tanūr guzasht
main aksar raat ki tanhai se ye puchhta hun
ki mera aaj mere kal se kyunkar muKHtalif hai
wahi main hun wahi diwangi hai
wahi wahshat wahi fikr-e-maishat
ye bechaini ye virani
mujhe kyun khae jati hai
magar jazbon se aari dard se ghafil ye tanhai
sada KHamosh rahti hai
mujhe lagta hai tanhai
faqat bahri nahin gungi bhi hai shayad
wahi gambhir sannaTa wahi viran tariki
bhala tanhai bhi kuchh bolti hai
magar badli se aksar
chand apna sar nikale
mujhe aawaz de kar puchhta hai
ki diwane tu ab tak jagta hai
ye kaisi fikr-e-roz-o-shab
ye kaisi girya-zari
sulagti dhime dhime
rakh banti raat
aaKHir kaT hi jaegi
magar tu koi tajir hai
na sahukar na baniya
to phir kyun aaj-kal mein banTta hai
dard ki daulat
ye wo sauda nahin
jo har kisi ko ras aa jae
kaThin ho ya pur-asaish magar ye raat guzregi
shab-e-simwar guzasht lab-e-tanur guzasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.