lab-kusha
ye chup kitne din kī thī jo āñso.oñ meñ Dhalī
ye gahrī chaTTān aisī pathrīlī jāmid anokhī sī chup
us kā chhūnā bhī mumkin thā tab
ye chup thī ki puurā vajūd apnā jo āñso.oñ meñ Dhalā
batāo to is chup kī bhedoñ bharī thaah meñ shor kyā thā
batāo to kyā guuñj thī
ek sadā dūsrī se ham āhañg jis meñ na thī
jaise sadiyoñ ke be-ḳhvāb dhundlī shabīheñ
dhuāñ-dhār jaltī chitāoñ meñ ghir kar taḌaḳhtī uchhaltī huuñ
kahtī huuñ taqdīr bar-haq hai bar-haq hai zinda aTal
ham-āhañg gardish sitāroñ kī hai
paḌ ga.iiñ jo fazāoñ meñ līkeñ purānī
vo un par phire jā rahe haiñ phire jā rahe
sab hadeñ un kī paimūda haiñ
magar apne ḳhvāb-o-haqā.eq kā sail-e-azīm
koī leak us kī banā de
magar kyoñ
kabhī jo banā de bhī koī to socho
hamāre qadam aur līkoñ kā rishta kahāñ tak
ki ik had pe miT jā.eñgī vo
to kyā ham bhī tham jā.eñge
ham to baḌhte hī rahte haiñ
chāhe vo zilzāl ho jo humaktā nazar aa.e
chāhe vo ik soch ho jo tarāshe chalī jaa.e be-shor-o-shevan
siyah dahshatoñ ke pahāḌ
sazā-vār raftār ham
aur har ik gaam par pā.emālī vo apnī ho yā dūsroñ kī
ta.assuf meñ aur sog meñ ek jaisī hai apne liye
safīna thā bhārī to kyā kyā na kuchh pheñk Daalā
mizha se Tapakte hue qatra-e-ashk kā baar
ḳhvāboñ se ḳhushbū kā bojh
nichoḌā to lahreñ bhī halkī gulābī huiiñ
ruñdhī lai meñ gaatī rahīñ dil dikhātī rahīñ
koī ham se pūchhe
ki ab vaqt kyā hai
to ham kah uTheñ ik sadā
ham is meñ khape kho ga.e
ab sadā par bhī ta.azīr kaisī
sadā do
ki ik bol kī pyaas apne gulo meñ jalā.e
khaḌī hai sitam-kash tamannā kināra-e-furāt
ye chup kitne din ki thi jo aansoon mein Dhali
ye gahri chaTTan aisi pathrili jamid anokhi si chup
us ka chhuna bhi mumkin tha tab
ye chup thi ki pura wajud apna jo aansoon mein Dhala
batao to is chup ki bhedon bhari thah mein shor kya tha
batao to kya gunj thi
ek sada dusri se hum aahang jis mein na thi
jaise sadiyon ke be-KHwab dhundli shabihen
dhuan-dhaar jalti chitaon mein ghir kar taDaKHti uchhalti hun
kahti hun taqdir bar-haq hai bar-haq hai zinda aTal
ham-ahang gardish sitaron ki hai
paD gain jo fazaon mein liken purani
wo un par phire ja rahe hain phire ja rahe
sab haden un ki paimuda hain
magar apne KHwab-o-haqaeq ka sail-e-azim
koi leak us ki bana de
magar kyon
kabhi jo bana de bhi koi to socho
hamare qadam aur likon ka rishta kahan tak
ki ek had pe miT jaengi wo
to kya hum bhi tham jaenge
hum to baDhte hi rahte hain
chahe wo zilzal ho jo humakta nazar aae
chahe wo ek soch ho jo tarashe chali jae be-shor-o-shewan
siyah dahshaton ke pahaD
saza-war raftar hum
aur har ek gam par paemali wo apni ho ya dusron ki
tassuf mein aur sog mein ek jaisi hai apne liye
safina tha bhaari to kya kya na kuchh phenk Dala
mizha se Tapakte hue qatra-e-ashk ka bar
KHwabon se KHushbu ka bojh
nichoDa to lahren bhi halki gulabi huin
rundhi lai mein gati rahin dil dikhati rahin
koi hum se puchhe
ki ab waqt kya hai
to hum kah uThen ek sada
hum is mein khape kho gae
ab sada par bhi tazir kaisi
sada do
ki ek bol ki pyas apne gulo mein jalae
khaDi hai sitam-kash tamanna kinara-e-furaat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.