labbaik
sannāToñ kā shab-ḳhūñ hai
havā ke naTkhaT tāroñ par
duur kahīñ kuchh āvāzoñ kī sargoshī hai
ye nā-fahm sadā.eñ
kabhī madhur sā-re-gā-mā-pā-dhā-nī-sā haiñ
kabhī pighaltā siisa haiñ
chāroñ jānib sail-e-havā hai
magar ḳhalā hai
ḳhushbū rang na taare meñ
tishna-gosh adam-e-samā.at ke maare haiñ
dhuñdle ḳhvāb dekhne kī chāhat meñ haare haiñ
āñkheñ do angāre haiñ
sannāToñ kā shab-ḳhūñ hai
dard kī sūiyāñ Tik-Tik Tik-Tik kartī haiñ
palkeñ hilne julne se bhī Dartī haiñ
sāñseñ aaheñ bhartī haiñ
ik nuqte par saarā aalam simaT gayā hai
yuuñ lagtā hai
saañp kisī nevle ke badan se lipaT gayā hai
nā-umīdī aur ummīd kī chaukhaT par
kaun kisī bhiḌ ke chhatte ko haath lagā.e
duur kī āvāzeñ suljhā.e
niiñd jagā.e
sannāToñ kā shab-ḳhūñ hai
aur añdhere ghup meñ
ḳhāmoshī kī guuñj hai gahrī chup meñ
sub.h kī pahlī kiran nigāhoñ se ojhal hai
nafas nafas bojhal hai
bas ik dhaḌkan kī dastak hai jis kī sadā par
dil labbaik kahe jaatā hai
raushniyoñ kī añgḌā.ī tak
dil labbaik kahe jā.egā
sannaTon ka shab-KHun hai
hawa ke naTkhaT taron par
dur kahin kuchh aawazon ki sargoshi hai
ye na-fahm sadaen
kabhi madhur sa-re-ga-ma-pa-dha-ni-sa hain
kabhi pighalta sisa hain
chaaron jaanib sail-e-hawa hai
magar KHala hai
KHushbu rang na tare mein
tishna-gosh adam-e-samaat ke mare hain
dhundle KHwab dekhne ki chahat mein haare hain
aankhen do angare hain
sannaTon ka shab-KHun hai
dard ki suiyan Tik-Tik Tik-Tik karti hain
palken hilne julne se bhi Darti hain
sansen aahen bharti hain
ek nuqte par sara aalam simaT gaya hai
yun lagta hai
sanp kisi newle ke badan se lipaT gaya hai
na-umidi aur ummid ki chaukhaT par
kaun kisi bhiD ke chhatte ko hath lagae
dur ki aawazen suljhae
nind jagae
sannaTon ka shab-KHun hai
aur andhere ghup mein
KHamoshi ki gunj hai gahri chup mein
subh ki pahli kiran nigahon se ojhal hai
nafas nafas bojhal hai
bas ek dhaDkan ki dastak hai jis ki sada par
dil labbaik kahe jata hai
raushniyon ki angDai tak
dil labbaik kahe jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.