laDakpan ki yaad
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
kabhī ḳhālī clāssoñ meñ jo bachche ġhul machāte haiñ
kisī anjān shā.ir kī ġhazal mil jul ke gaate haiñ
ḳhushī se nāchte haiñ desk par tabla bajāte haiñ
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
huā kartī hai jab chhuTTī to chanchal sar-phire ḳhud-sar
liye hāthoñ meñ baste mārte fōtbāl ko Thokar
uchhalte kūdte bachche nazar aate haiñ saḌkoñ par
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
kabhī is shāḳh se us shāḳh par bachche uchhalte haiñ
kabhī shāḳhoñ pe jhūle Daal kar zālim machalte haiñ
samāñ ye dekh kar maañ baap ke siine dahalte haiñ
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
koī shāgird jab sāthī ko apne gudgudātā hai
vo sāthī ho ke aajiz sāmne fariyād laatā hai
class us bebasī par chupke chupke muskurātā hai
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
hazāroñ shoḳhiyāñ hotī haiñ bachpan ke zamāne meñ
chubho kar pin koī bachcha kisī bachche ke shāne meñ
huā kartā hai jab mashġhūl tanzan muskurāne meñ
to mujh ko ham-nashīñ apnā laḌakpan yaad aatā hai
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
kabhi KHali classon mein jo bachche ghul machate hain
kisi anjaan shair ki ghazal mil jul ke gate hain
KHushi se nachte hain desk par tabla bajate hain
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
hua karti hai jab chhuTTi to chanchal sar-phire KHud-sar
liye hathon mein baste marte footbaal ko Thokar
uchhalte kudte bachche nazar aate hain saDkon par
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
kabhi is shaKH se us shaKH par bachche uchhalte hain
kabhi shaKHon pe jhule Dal kar zalim machalte hain
saman ye dekh kar man bap ke sine dahalte hain
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
koi shagird jab sathi ko apne gudgudata hai
wo sathi ho ke aajiz samne fariyaad lata hai
class us bebasi par chupke chupke muskuraata hai
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
hazaron shoKHiyan hoti hain bachpan ke zamane mein
chubho kar pin koi bachcha kisi bachche ke shane mein
hua karta hai jab mashghul tanzan muskurane mein
to mujh ko ham-nashin apna laDakpan yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.