laDki aur baadal
laḌkī ke paas
ek kitāb hai aur
kitāb ke paas ek kahānī
kahānī meñ yak añdherī raat hai aur
añdherī raat meñ ek ḳhvāb
laḌkī ke paas
ek ḳhvāb hai aur
ḳhvāb ke paas ek be-rañg kuttā aur gulābī bādal
kuttā laḌkī ke paas aatā hai
vo Dar jaatī hai aur
āñkheñ khol detī hai
laḌkī ke paas kuchh nahīñ hai
vo rone lagtī hai aur kahtī hai
mere paas
āñsuoñ se banā huā
ek bādal hai
aur hamesha
bādal ke saath saath chaltī rahtī hai
laDki ke pas
ek kitab hai aur
kitab ke pas ek kahani
kahani mein yak andheri raat hai aur
andheri raat mein ek KHwab
laDki ke pas
ek KHwab hai aur
KHwab ke pas ek be-rang kutta aur gulabi baadal
kutta laDki ke pas aata hai
wo Dar jati hai aur
aankhen khol deti hai
laDki ke pas kuchh nahin hai
wo rone lagti hai aur kahti hai
mere pas
aansuon se bana hua
ek baadal hai
aur hamesha
baadal ke sath sath chalti rahti hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.