kyā zindagī hamārī
sab kuchh hai apne bas meñ
āzād haiñ fazā.eñ
duniyā hai dastaras meñ
kyā kyā hameñ milā hai
kuchh vaqt kuchh baras meñ
lekin jo muḌ ke dekheñ
thī ik ajab kahānī
dushvār kaisā jiinā
mushkil thī zindagānī
ik āfat-e-musalsal
ālām-e-nā-gahānī
rozāna sub.h uThnā
āsān thā na itnā
har roz DaañT khānā
har roz kā sisaknā
har baat ke tamāshe
har baat par jhagaḌnā
abbā vahīñ khaḌe haiñ
aḳhbār paḌh rahe haiñ
kyā kaam ham ko de deñ
har vaqt sochte haiñ
aulād ko to apnī
naukar samajh rahe haiñ
ammī ke sāmne to
bilkul na muñh ko kholeñ
ham bad-tamīz Thahre
go achchhī baat boleñ
chup-chāp hī raheñ bas
kitnā bhī ḳhvār ho leñ
paanī baras rahā hai
par dil taras rahā hai
vo cycle khaḌī hai
māñjhā vahīñ rakhā hai
kanche yahāñ paḌe haiñ
ballā vahāñ khaḌā hai
lekin nahīñ hameñ kyā
laade kamar pe basta
schōl jā rahe haiñ
tārīḳh kā hai parcha
achchhā nahīñ huā to
bas band jeb ḳharcha
urdu kā kaam puurā
kal raat kar liyā thā
lekin hameñ riyāzī
bilkul samajh na aayā
allāh ke haiñ bande
ham se hai vāsta kyā
ammī ne sirf DāñTā
bāloñ meñ tel Daalā
bhayyā ne sirf jhiḌkā
baajī ne ḳhuub Taalā
sab ke liye hai jī meñ
nafrat kā ek jaalā
bhayyā kī cycle kī
kis ne havā nikālī
ham ko bhalā ḳhabar kyā
har shaḳhs hai savālī
us ne hamārī chiḌiyā
us din jo toḌ Daalī
sach hai bahut sitam thā
goyā the ik khilaunā
jaise ho sab barābar
ghar meñ na honā honā
dekhā nahīñ kisī ne
chhup chhup hamārā ronā
ab ho gayā hai apnā har chiiz par ijāra
sab apnī zimmedārī
sab faisle hamāre
har chiiz iḳhtiyārī
lekin vo bachpane kī hai yaad pyārī pyārī
kyā zindagī hamārī
kyā zindagī hamārī
kya zindagi hamari
sab kuchh hai apne bas mein
aazad hain fazaen
duniya hai dastaras mein
kya kya hamein mila hai
kuchh waqt kuchh baras mein
lekin jo muD ke dekhen
thi ek ajab kahani
dushwar kaisa jina
mushkil thi zindagani
ek aafat-e-musalsal
aalam-e-na-gahani
rozana subh uThna
aasan tha na itna
har roz DanT khana
har roz ka sisakna
har baat ke tamashe
har baat par jhagaDna
abba wahin khaDe hain
aKHbar paDh rahe hain
kya kaam hum ko de den
har waqt sochte hain
aulad ko to apni
naukar samajh rahe hain
ammi ke samne to
bilkul na munh ko kholen
hum bad-tamiz Thahre
go achchhi baat bolen
chup-chap hi rahen bas
kitna bhi KHwar ho len
pani baras raha hai
par dil taras raha hai
wo cycle khaDi hai
manjha wahin rakha hai
kanche yahan paDe hain
balla wahan khaDa hai
lekin nahin hamein kya
lade kamar pe basta
school ja rahe hain
tariKH ka hai parcha
achchha nahin hua to
bas band jeb KHarcha
urdu ka kaam pura
kal raat kar liya tha
lekin hamein riyazi
bilkul samajh na aaya
allah ke hain bande
hum se hai wasta kya
ammi ne sirf DanTa
baalon mein tel Dala
bhayya ne sirf jhiDka
baji ne KHub Tala
sab ke liye hai ji mein
nafrat ka ek jala
bhayya ki cycle ki
kis ne hawa nikali
hum ko bhala KHabar kya
har shaKHs hai sawali
us ne hamari chiDiya
us din jo toD Dali
sach hai bahut sitam tha
goya the ek khilauna
jaise ho sab barabar
ghar mein na hona hona
dekha nahin kisi ne
chhup chhup hamara rona
ab ho gaya hai apna har chiz par ijara
sab apni zimmedari
sab faisle hamare
har chiz iKHtiyari
lekin wo bachpane ki hai yaad pyari pyari
kya zindagi hamari
kya zindagi hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.