lafz
abhī tasḳhīr karne haiñ vo lafz
ki jin ko likh kar kitāboñ meñ paḌh kar
tamannāoñ kī an-ginat vādiyoñ meñ base
apne ḳhvāboñ meñ ta.abīr kī khiḌkiyāñ khol kar
dūsroñ par khule aur phir dūsroñ ke liye misl-e-jānāñ bane
lafz vo jin ko sadiyoñ ne dekhā
jinheñ dekh kar un ko chāhā
jinheñ chaah kar un ko apne gale se lagāyā
ye sab chāhne aur gale se lagāne ke lamhe
bayāñ jis adā se hue lafz vo hameñ tasḳhīr karne haiñ
abhi tasKHir karne hain wo lafz
ki jin ko likh kar kitabon mein paDh kar
tamannaon ki an-ginat wadiyon mein base
apne KHwabon mein tabir ki khiDkiyan khol kar
dusron par khule aur phir dusron ke liye misl-e-jaanan bane
lafz wo jin ko sadiyon ne dekha
jinhen dekh kar un ko chaha
jinhen chah kar un ko apne gale se lagaya
ye sab chahne aur gale se lagane ke lamhe
bayan jis ada se hue lafz wo hamein tasKHir karne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.