lafz de mujhe kuchh to
ai ḳhudā
lafz de mujhe kuchh to
dil ke saada varaq pe kuchh to utaar
bhar mire kāsa-e-ḳhayāl ko to
is se pahle jo tū ne lafz diye
rehn rakkhe haiñ saare vaqt ke paas
ab mire paas aur kuchh bhī nahīñ
ik zabāñ hai jo kitnī sadiyoñ se
lafz kā lams paanā chāhtī hai
mere hoñToñ pe ism rakh apnā
aur sochoñ ko de zamām-e-ḳhayāl
maiñ ki ḳhāmosh huuñ zamānoñ se
mujh ko bhī harf āshnā kar de
bhar mire kāsa-e-ḳhayāl ko to
ai ḳhudā
lafz de mujhe kuchh to
ai KHuda
lafz de mujhe kuchh to
dil ke sada waraq pe kuchh to utar
bhar mere kasa-e-KHayal ko to
is se pahle jo tu ne lafz diye
rehn rakkhe hain sare waqt ke pas
ab mere pas aur kuchh bhi nahin
ek zaban hai jo kitni sadiyon se
lafz ka lams pana chahti hai
mere honTon pe ism rakh apna
aur sochon ko de zamam-e-KHayal
main ki KHamosh hun zamanon se
mujh ko bhi harf aashna kar de
bhar mere kasa-e-KHayal ko to
ai KHuda
lafz de mujhe kuchh to
- Book : Pakistani Adab (Pg. 179)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.