lafz lafz dua
tujhe lazzatoñ kī sahar mile
tujhe ā.inoñ kā safar mile
ki rafāqatoñ kā badan badan
na.ī ḳhushbuoñ se mahak uThe
ki sabāhatoñ kā ḳhamīr tak
kabhī chāñd-chāñd chamak uThe
abhī gul-fishāñ hai adā adā
abhī naġhma-ḳhvāñ hai adā adā
abhī phūl-phūl hai tāzgī
abhī rang-rang hai zindagī
koī gard-e-ġham bhī na paḌ sake
kahīñ is tarah tū chhupā rahe
mirā lafz lafz duā duā
mire āñsūoñ se dhulā huā
tujhe lazzatoñ kī sahar mile
tujhe ā.inoñ kā safar mile
tujhe lazzaton ki sahar mile
tujhe aainon ka safar mile
ki rafaqaton ka badan badan
nai KHushbuon se mahak uThe
ki sabahaton ka KHamir tak
kabhi chand-chand chamak uThe
abhi gul-fishan hai ada ada
abhi naghma-KHwan hai ada ada
abhi phul-phul hai tazgi
abhi rang-rang hai zindagi
koi gard-e-gham bhi na paD sake
kahin is tarah tu chhupa rahe
mera lafz lafz dua dua
mere aansuon se dhula hua
tujhe lazzaton ki sahar mile
tujhe aainon ka safar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.