lafz kabhī rūThte nahīñ
kavitā kabhī nahīñ martī
haañ
jab rāhat kī aas meñ
us ke aur qarīb jaane kī chaah meñ
use ḳhud hī jiine lagtā hai shā.ir
tab
vo māshūqa nahīñ rahtī
aur ho jaatī hai ruuh se jism meñ tabdīl
yuuñ lafz kabhī rūThte nahīñ
yuuñ kavitā kabhī nahīñ martī
lafz kabhi ruThte nahin
kawita kabhi nahin marti
han
jab rahat ki aas mein
us ke aur qarib jaane ki chah mein
use KHud hi jine lagta hai shair
tab
wo mashuqa nahin rahti
aur ho jati hai ruh se jism mein tabdil
yun lafz kabhi ruThte nahin
yun kawita kabhi nahin marti
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.