lafz
lafz taqdīr mirī
husn bhī lafz meñ hai
ishq bhī lafz meñ hai
adl bhī lafz meñ hai
lafz meñ sāz-e-azal
lafz meñ rāz-e-abad
lafz māmūra-e-ḳhushbū
lafz ik qaus-e-quzah
lafz bādal kā ḳhirām
lafz dariyā kī ravānī
lafz meñ rif.at-e-koh
lafz meñ vus.at-e-sahrā
lafz miTTī kā numū
lafz meñ chāñd kā mehvar
lafz meñ matl.a-e-ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ
lafz nairañg-e-ayyām kī dhaḌkan
lafz hairat-kada-e-kaun-o-makāñ
lafz meñ vaqt kī raftār kī chaap
jism kā ramz shanāsā bhī hai lafz
lafz meñ aañkh kā nuur
lafz āvāz kā ruup
lafz hī zulf-e-dotā
lafz hī rū-e-munavvar
lafz shīrīnī-e-lab
lafz andāz-e-junūñ
lafz hī ruuh kā dāna-e-subul
lafz hai us kā jamāl
lafz hai us kā jalāl
lafz maujūd bhī hai ġhaib bhī hai
lafz hai hāmil-e-asrār-o-rumūz
lafz namrūd kī ātish meñ gul-afshāñ
lafz se vādī-e-sīnā bhī huī buq.a-e-nūr
yad-e-baizā bhī hai lafz
dam-e-īsā bhī hai lafz
lafz hī shaqq-e-qamar
lafz burrāq hai me.arāj kī shab
lafz hī rūh-e-amīñ
2
maiñ bhī ik lafz hī thā
magar ab bikhrā huā harfoñ meñ
harf-e-zulmāt meñ mahsūr hue
muntazir huuñ
dam-e-īsā
yad-e-baizā
in ko phir lafz banā de
lafz taqdir meri
husn bhi lafz mein hai
ishq bhi lafz mein hai
adl bhi lafz mein hai
lafz mein saz-e-azal
lafz mein raaz-e-abad
lafz mamura-e-KHushbu
lafz ek qaus-e-quzah
lafz baadal ka KHiram
lafz dariya ki rawani
lafz mein rifat-e-koh
lafz mein wusat-e-sahra
lafz miTTi ka numu
lafz mein chand ka mehwar
lafz mein matla-e-KHurshid-e-daraKHshan
lafz nairang-e-ayyam ki dhaDkan
lafz hairat-kada-e-kaun-o-makan
lafz mein waqt ki raftar ki chap
jism ka ramz shanasa bhi hai lafz
lafz mein aankh ka nur
lafz aawaz ka rup
lafz hi zulf-e-dota
lafz hi ru-e-munawwar
lafz shirini-e-lab
lafz andaz-e-junun
lafz hi ruh ka dana-e-subul
lafz hai us ka jamal
lafz hai us ka jalal
lafz maujud bhi hai ghaib bhi hai
lafz hai hamil-e-asrar-o-rumuz
lafz namrud ki aatish mein gul-afshan
lafz se wadi-e-sina bhi hui buqa-e-nur
yad-e-baiza bhi hai lafz
dam-e-isa bhi hai lafz
lafz hi shaqq-e-qamar
lafz burraq hai mearaj ki shab
lafz hi ruh-e-amin
2
main bhi ek lafz hi tha
magar ab bikhra hua harfon mein
harf-e-zulmat mein mahsur hue
muntazir hun
dam-e-isa
yad-e-baiza
in ko phir lafz bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.