lafz likhna bhul jata hun
mujhe uḌte parinde achchhe lagte haiñ
mujhe un kī uḌānoñ se
na.e aate hue sab mausamoñ kī āhaTeñ mahsūs hotī haiñ
mujhe un kī uḌāneñ
bārisheñ aur phuul khilne kī bashārat dene aatī haiñ
mujhe un kī uḌāneñ
zindagī ke rāstoñ par hausloñ kā dars detī haiñ
mire hāthoñ ne harfoñ ke gulāboñ ko
inhī se likhnā sīkhā hai
magar hijrat-zada mausam meñ
jab koī akelī kuuñj kar laatī huī
niile falak kī vus.atoñ meñ apne kho.e sāthiyoñ ko
DhūñDhtī āvāz detī hai
mujhe bichhḌe hue sab yaad aate haiñ
mire hāthoñ kī poreñ lafz likhnā bhuul jaatī haiñ
zamīñ par bārisheñ
aur sard yaḳh-basta badan ko chīrtī barham havā.eñ
sabz peḌoñ meñ ghire ābād ghar kā rāsta rokeñ
maiñ tanhā baiTh kar
bhīge parindoñ ke paroñ ke
ḳhushk hone kī duā.eñ māñgtā huuñ!
mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
mujhe un ki uDanon se
nae aate hue sab mausamon ki aahaTen mahsus hoti hain
mujhe un ki uDanen
barishen aur phul khilne ki bashaarat dene aati hain
mujhe un ki uDanen
zindagi ke raston par hauslon ka dars deti hain
mere hathon ne harfon ke gulabon ko
inhi se likhna sikha hai
magar hijrat-zada mausam mein
jab koi akeli kunj kar lati hui
nile falak ki wusaton mein apne khoe sathiyon ko
DhunDhti aawaz deti hai
mujhe bichhDe hue sab yaad aate hain
mere hathon ki poren lafz likhna bhul jati hain
zamin par barishen
aur sard yaKH-basta badan ko chirti barham hawaen
sabz peDon mein ghire aabaad ghar ka rasta roken
main tanha baiTh kar
bhige parindon ke paron ke
KHushk hone ki duaen mangta hun!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 367)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.