lafz nahin bolte
sunā yahī hai
ki lafz ab bolte nahīñ haiñ
jo mujh pe ab tak guzar chukā hai
guzar rahā hai
vo lafz-dar-lafz mar rahā hai
maiñ har taraf se
mare huoñ meñ ghirā huā huuñ
kabhī kabhī meñ
Darā Darā sā
sabhī ko chup-chāp dekhtā huuñ
kabhī kabhī sar uThā ke murde
udaas āñkhoñ se
dekhte haiñ
maiñ maut kī vādiyoñ meñ jaise utar gayā huuñ
ki jaise maiñ aaj mar gayā huuñ
suna yahi hai
ki lafz ab bolte nahin hain
jo mujh pe ab tak guzar chuka hai
guzar raha hai
wo lafz-dar-lafz mar raha hai
main har taraf se
mare huon mein ghira hua hun
kabhi kabhi mein
Dara Dara sa
sabhi ko chup-chap dekhta hun
kabhi kabhi sar uTha ke murde
udas aankhon se
dekhte hain
main maut ki wadiyon mein jaise utar gaya hun
ki jaise main aaj mar gaya hun
- Book : Chand Chiragh (Pg. 22)
- Author : Kumar Pashi
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.