lafz paron ki tarah hote hain
tamām din tumhāre messages mere dil kī muñDeroñ par kabūtaroñ kī tarah utarte haiñ
safed dūdhiyā siyāh chashm sharbatī aur surma.ī maa.il jañgalī kabūtar jin ke siine ke baal
ka.ī rangoñ meñ damakte haiñ
sabz-gūñ nīlgūñ aur tābdār tapte hue tāñbe ke jaise
maiñ un kī zabān samajhtī huuñ
ġhuTarġhūñ ġhuTarġhūñ
kitnī parvāz kar ke aate haiñ
shaam se maiñ un ke saath
ek kābuk meñ band ho jaatī huuñ
vo mere bāzuoñ kandhoñ aur mere sar par baiTh jaate haiñ
mujhe sub.h tak sone nahīñ dete
un ke par sehr-añgez lafzoñ kī tarah
apne ma.ānī kholte haiñ
tumheñ mālūm hai par lafzoñ kī tarah hote haiñ khulte haiñ ma.ānī kī tarah
tah-dar-tah
alāmateñ
ramz-nigārī
aur ishāre kinā.e sab kuchh
aur ye lafz apne saath nī۔ndeñ uḌā kar le jaate haiñ
raat merī nīñdeñ le kar galī meñ
sīTiyāñ mārtī hai
aur ḳhvāb khiḌkiyoñ par dastakeñ dete haiñ
tum apnī karvaT badalte ho
aur raat apnī poshāk
maiñ un ke pairoñ meñ
motiyoñ vaalī jhāñjhareñ Dāltī huuñ
ye apnā apnā daana dunkā chug kar
tumhārī or uḌ jaate haiñ
aur phir ek na.ī Daar utartī hai
tamam din tumhaare messages mere dil ki munDeron par kabutaron ki tarah utarte hain
safed dudhiya siyah chashm sharbati aur surmai mail jangali kabutar jin ke sine ke baal
kai rangon mein damakte hain
sabz-gun nilgun aur tabdar tapte hue tanbe ke jaise
main un ki zaban samajhti hun
ghuTarghun ghuTarghun
kitni parwaz kar ke aate hain
sham se main un ke sath
ek kabuk mein band ho jati hun
wo mere bazuon kandhon aur mere sar par baiTh jate hain
mujhe subh tak sone nahin dete
un ke par sehr-angez lafzon ki tarah
apne maani kholte hain
tumhein malum hai par lafzon ki tarah hote hain khulte hain maani ki tarah
tah-dar-tah
alamaten
ramz-nigari
aur ishaare kinae sab kuchh
aur ye lafz apne sath ni۔nden uDa kar le jate hain
raat meri ninden le kar gali mein
siTiyan marti hai
aur KHwab khiDkiyon par dastaken dete hain
tum apni karwaT badalte ho
aur raat apni poshak
main un ke pairon mein
motiyon wali jhanjharen Dalti hun
ye apna apna dana dunka chug kar
tumhaari or uD jate hain
aur phir ek nai Dar utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.