lafz
jab lafz chalnā chāhte haiñ
chalte haiñ aur dūsre lafzoñ ke
pīchhe chalnā shurūa kar dete haiñ
ek ke pīchhe ek
lafz chalte rahte haiñ
lafz ek-dūsre ke pīchhe
pāgaloñ kī tarah nahīñ dauḌte
lafz āhista āhista chalte haiñ
apne chalne ke daurān lafz
ek-dūsre par miTTī nahīñ uchhālte
ek-dūsre par paanī nahīñ pheñkte
lafz dūsre lafzoñ ko kīchaḌ meñ nahīñ girāte
lafz
dūsre chhoTe chhoTe lafzoñ ko
dhakke nahīñ dete
aage jaane vaale lafz
pīchhe aane vaale lafzoñ kā
rāsta nahīñ rokte
ḳhālī haath
lafz chalte chale jaate haiñ
un ke paas aḳhroT kī lakḌī se banī
lohe ke daste vaalī koī chhaḌī nahīñ hotī
na hī koī bandūq
lafz lafzoñ ko
bahut ziyāda Darāte nahīñ
lafz dūsre lafzoñ ko sahārā dete haiñ
zinda rakhte haiñ
lafz kisī lafz ko
aadmī kī tarah
añdhere meñ le jā kar
us kā galā nahīñ ghoñTte
vo ek dūsre ko raushnī meñ rakh kar
hamesha apnī apnī āvāz buland karte hue
aage baḌhte rahte haiñ
chalte rahī rahte haiñ
jab lafz chalna chahte hain
chalte hain aur dusre lafzon ke
pichhe chalna shurua kar dete hain
ek ke pichhe ek
lafz chalte rahte hain
lafz ek-dusre ke pichhe
pagalon ki tarah nahin dauDte
lafz aahista aahista chalte hain
apne chalne ke dauran lafz
ek-dusre par miTTi nahin uchhaalte
ek-dusre par pani nahin phenkte
lafz dusre lafzon ko kichaD mein nahin giraate
lafz
dusre chhoTe chhoTe lafzon ko
dhakke nahin dete
aage jaane wale lafz
pichhe aane wale lafzon ka
rasta nahin rokte
KHali hath
lafz chalte chale jate hain
un ke pas aKHroT ki lakDi se bani
lohe ke daste wali koi chhaDi nahin hoti
na hi koi banduq
lafz lafzon ko
bahut ziyaada Daraate nahin
lafz dusre lafzon ko sahaara dete hain
zinda rakhte hain
lafz kisi lafz ko
aadmi ki tarah
andhere mein le ja kar
us ka gala nahin ghonTte
wo ek dusre ko raushni mein rakh kar
hamesha apni apni aawaz buland karte hue
aage baDhte rahte hain
chalte rahi rahte hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 428)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.