lafzon ka almiya
na.e na.e lafz shor karte
baḌhe chale aa rahe haiñ
fikr o ḳhayāl kī rahguzar ābād ho rahī hai
zabāñ bahut sī purānī had-bandiyoñ se āzād ho rahī hai
ka.ī fasāne jo an-kahe the ka.ī tasavvur jo be-zabāñ the
hazār aalam nashāt o ġham ke jo pahle nā-qābil-e-bayāñ the
vo dhaḌkaneñ ḳhāmushī hī jin ke ḳharosh-e-pinhāñ kī tarjumāñ thī
vo naġhmagī jo ḳhamoshiyoñ ke siyāh zindāñ meñ par-fishāñ thī
use ab āḳhir khulī fazāoñ meñ izn-e-parvāz mil gayā hai
ki ik nayā rishta darmiyān-e-ḳhayāl-o-āvāz mil gayā hai
magar mujhe chup sī lag ga.ī hai
na.e na.e lafz shor karte baḌhe chale aa rahe haiñ
aur maiñ
hujūm-e-pur-shor meñ akelā
purāne lafzoñ ko DhūñDtā huuñ
ye dekhtā huuñ
jahāñ jahāñ kal purāne lafzoñ ne Daal rakkhe the apne Dere
vahāñ na.e lafz aa ke ābād ho ga.e haiñ
makāñ agarche ujaḌ na paa.e makīn barbād ho ga.e haiñ
na.e na.e lafz shor karte baḌhe chale aa rahe haiñ
lekin
purāne lafzoñ kī pā.emālī ne dam ba-ḳhud kar diyā hai mujh ko
kisī ne sochā nahīñ hai shāyad magar maiñ aksar ye sochtā huuñ
purāne lafzoñ ke saath hī ik purānī duniyā bhī kho ga.ī hai
ḳhāmoshiyoñ ke siyāh-zindāñ meñ jā ke rū-posh ho ga.ī hai
nae nae lafz shor karte
baDhe chale aa rahe hain
fikr o KHayal ki rahguzar aabaad ho rahi hai
zaban bahut si purani had-bandiyon se aazad ho rahi hai
kai fasane jo an-kahe the kai tasawwur jo be-zaban the
hazar aalam nashat o gham ke jo pahle na-qabil-e-bayan the
wo dhaDkanen KHamushi hi jin ke KHarosh-e-pinhan ki tarjuman thi
wo naghmagi jo KHamoshiyon ke siyah zindan mein par-fishan thi
use ab aaKHir khuli fazaon mein izn-e-parwaz mil gaya hai
ki ek naya rishta darmiyan-e-KHayal-o-awaz mil gaya hai
magar mujhe chup si lag gai hai
nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain
aur main
hujum-e-pur-shor mein akela
purane lafzon ko DhunDta hun
ye dekhta hun
jahan jahan kal purane lafzon ne Dal rakkhe the apne Dere
wahan nae lafz aa ke aabaad ho gae hain
makan agarche ujaD na pae makin barbaad ho gae hain
nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain
lekin
purane lafzon ki paemali ne dam ba-KHud kar diya hai mujh ko
kisi ne socha nahin hai shayad magar main aksar ye sochta hun
purane lafzon ke sath hi ek purani duniya bhi kho gai hai
KHamoshiyon ke siyah-zindan mein ja ke ru-posh ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.