lafzon ke khel
lafzoñ ke khel bahut ajiib hote haiñ
kabhī āsamān par le jaate haiñ
aur kabhī zamīn par de mārte haiñ
ye kapḌoñ ke rañgoñ se ziyāda
kabhī bahut gahre
kabhī bahut halke
suroñ meñ
dhīme dhīme
ḳhuun sairāb karte haiñ
aur kabhī ek ek qatra nichoḌ lete haiñ
ye ārām-deh bistar par ham se ham-bistarī karte haiñ
aur kabhī hamārī āñval naal se chipak jaate haiñ
aur jab tak ham zinda rahte haiñ
ye hameñ loriyāñ dete haiñ
aur kabhī hameñ achānak mar jaane par
majbūr karte haiñ
aur ye lafz hī elaan karte haiñ
ki kis jagah kis tārīḳh ko
ham kahāñ murda hālat meñ paa.e ga.e
lafzon ke khel bahut ajib hote hain
kabhi aasaman par le jate hain
aur kabhi zamin par de marte hain
ye kapDon ke rangon se ziyaada
kabhi bahut gahre
kabhi bahut halke
suron mein
dhime dhime
KHun sairab karte hain
aur kabhi ek ek qatra nichoD lete hain
ye aaram-deh bistar par hum se ham-bistari karte hain
aur kabhi hamari aanwal nal se chipak jate hain
aur jab tak hum zinda rahte hain
ye hamein loriyan dete hain
aur kabhi hamein achanak mar jaane par
majbur karte hain
aur ye lafz hi elan karte hain
ki kis jagah kis tariKH ko
hum kahan murda haalat mein pae gae
- Book : Meez per rakhe haath (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.