lafzon ki tijarat
vasī.a jañgal hai ek jānib pahāḌoñ kā silsila chalā hai
shaam āhistagī se peḌoñ pe kuhniyāñ Tektī hai
sūraj kiran kiran apnī raushnī rehn rakh ke ġharbī dayār-e-falakī se
bādaloñ kā lihāf le kar
yak-shabī niiñd ke tasavvur meñ ūñghtā hai
ḳhizāñ-rasīda anaar kā ik shajar khaḌā hai
maiñ jis ke nīche
ahd-o-paimāñ ke la.al yāqūt
iz.hār o iqrār ke zamurrad
kisī ko detā huuñ
aur letā huuñ
aur lafzoñ kī is tijārat pe
apnī niiñd meñ muskurā rahā huuñ
wasia jangal hai ek jaanib pahaDon ka silsila chala hai
sham aahistagi se peDon pe kuhniyan Tekti hai
suraj kiran kiran apni raushni rehn rakh ke gharbi dayar-e-falaki se
baadalon ka lihaf le kar
yak-shabi nind ke tasawwur mein unghta hai
KHizan-rasida anar ka ek shajar khaDa hai
main jis ke niche
ahd-o-paiman ke lal yaqut
izhaar o iqrar ke zamurrad
kisi ko deta hun
aur leta hun
aur lafzon ki is tijarat pe
apni nind mein muskura raha hun
- Book : saughat (2 and 3) (rekhta website) (Pg. 140)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.