Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lagan

MORE BYAbrarul Hasan

    Interesting Fact

    16 April 1986- Paris

    bādshāh mar chukā hai

    vāresīn aa.eñ ab ba-sad-ḳhulūs jañg ho

    ye tāj-o-taḳht

    saltanat

    lagān phailī ketiyoñ

    kaun legā

    ḳhil.ateñ vazārateñ

    atā karegā

    be-zabāñ avaam

    kis ke naam pe

    duā kareñge khatiyāñ ḳhirāj

    kis ke naam pe

    ugal sakeñgī

    minmināte bhiiḌ ke julūs

    kis ke naam pe

    ba-sad-ḳhulūs

    faḳhr se chaleñge

    qatl-gāh ko

    baadshah mar chuka hai

    waresin aaen ab ba-sad-KHulus jang ho

    ye taj-o-taKHt

    saltanat

    lagan phaili ketiyon ka

    kaun lega

    KHilaten wazaraten

    ata karega

    be-zaban awam

    kis ke nam pe

    dua karenge khatiyan KHiraj

    kis ke nam pe

    ugal sakengi

    minminate bhiD ke julus

    kis ke nam pe

    ba-sad-KHulus

    faKHr se chalenge

    qatl-gah ko

    Source :
    • Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 90)
    • Author : Abrarul Hasan
    • Publication : Scheherzade
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now