laghzish
jhilmilā kar bujh ga.e pāgal ummīdoñ ke diye
tū samajhtī hai ki maiñ huuñ aaj tak andohgīñ
vaqt ke hāthoñ ne āḳhir mundamil kar hī diyā
ab mire ma.asūm zaḳhmoñ se lahū bahtā nahīñ
jab hinā.ī uñgliyoñ kī juñbisheñ aatī haiñ yaad
jazb kar letā huuñ āñkhoñ kī juñbisheñ aatī haiñ yaad
ab magar maazī kī har shai par añdherā chhā gayā
aur hī rāhoñ se guzartī jā rahī hai zindagī
zehn meñ ubhre hue haiñ chand be-jā se nuqūsh
aur un meñ bhī nahīñ hai koī rabt-e-bāhamī
ḳhvāb dekhā thā kisī dāman kī chhāñv meñ kabhī
ek aisā ḳhvāb jis kā mudda.ā koī nahīñ
maiñ akelā jā rahā huuñ aur zamīñ hai sañglāḳh
ajnabī vaadī meñ merā āshnā koī nahīñ
rāste kaTte hue gum ho ga.e haiñ dhuñd meñ
dhuñd se aage ḳhalā hai rāsta koī nahīñ
ye bhayānak ḳhvāb kyoñ maġhlūb karte haiñ mujhe
dūdhiyā rāteñ sahar ke jhuTpuTe meñ kho ga.iiñ
aur terī narm bāheñ mujh se ab nā-āshnā
aur hī gardan ke halqe meñ lipaT kar so ga.iiñ
muskurā uThtā huuñ apnī sādgī par maiñ kabhī
kis qadar tezī se ye bāteñ purānī ho ga.iiñ
jhilmila kar bujh gae pagal ummidon ke diye
tu samajhti hai ki main hun aaj tak andohgin
waqt ke hathon ne aaKHir mundamil kar hi diya
ab mere masum zaKHmon se lahu bahta nahin
jab hinai ungliyon ki junbishen aati hain yaad
jazb kar leta hun aankhon ki junbishen aati hain yaad
ab magar mazi ki har shai par andhera chha gaya
aur hi rahon se guzarti ja rahi hai zindagi
zehn mein ubhre hue hain chand be-ja se nuqush
aur un mein bhi nahin hai koi rabt-e-bahami
KHwab dekha tha kisi daman ki chhanw mein kabhi
ek aisa KHwab jis ka muddaa koi nahin
main akela ja raha hun aur zamin hai sanglaKH
ajnabi wadi mein mera aashna koi nahin
raste kaTte hue gum ho gae hain dhund mein
dhund se aage KHala hai rasta koi nahin
ye bhayanak KHwab kyon maghlub karte hain mujhe
dudhiya raaten sahar ke jhuTpuTe mein kho gain
aur teri narm bahen mujh se ab na-ashna
aur hi gardan ke halqe mein lipaT kar so gain
muskura uThta hun apni sadgi par main kabhi
kis qadar tezi se ye baaten purani ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.