lahar ka Thahrao
maiñ ek lahar kā Thahrāo
jame hue ḳhuun kā daurān
kaTe hue hāthoñ kī panja-āzmā.ī merā jihād
nau-javān būḌhoñ kī nā-ḳhud-navisht
merī asriyat
tārīḳh mere ghar kā bujhā huā chūlhā
roTiyoñ se ziyāda bhuuk pakātā hai
merā shahr us aurat kā hamal
jo istiqrār se ziyāda isqāt Dhāltā hai
barsoñ pahle
natshe ne kahā thā'' ḳhudā mar gayā''
aur aaj
jaamā masjid ke pīchhe vaalī bastī meñ
bosīda makānoñ aur tārīk galiyoñ meñ
ek būḌhā bhī
yahī chīḳhtā hai
jaamā masjid ke chaar mīnāroñ se
rone kī āvāzeñ
nashr ho rahī haiñ
main ek lahar ka Thahrao
jame hue KHun ka dauran
kaTe hue hathon ki panja-azmai mera jihad
nau-jawan buDhon ki na-KHud-nawisht
meri asriyat
tariKH mere ghar ka bujha hua chulha
roTiyon se ziyaada bhuk pakata hai
mera shahr us aurat ka hamal
jo istiqrar se ziyaada isqat Dhaalta hai
barson pahle
natshe ne kaha tha KHuda mar gaya
aur aaj
jama masjid ke pichhe wali basti mein
bosida makanon aur tarik galiyon mein
ek buDha bhi
yahi chiKHta hai
jama masjid ke chaar minaron se
rone ki aawazen
nashr ho rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.