lahore mein pahli nazm
mire tasavvur meñ
sabz peḌoñ kī ThanDī chhāñv
ye merī taaza ġhazal ke ash.ār
aur ye nazmeñ
tire havāle
tire havāle ki maiñ to ḳhud ko
udāsiyoñ ko supurdagī de chukā huuñ
kahāñ kā merā hai ab irāda
na koī manzil
na koī jaada
na-jāne kin rāstoñ pe chal ke
nikal paḌā huuñ
musāfirat ke azaab sahne
gurez-pā haiñ ye merī hasrat ke saare raste
na mil sakeñge dobāra
ik dūsre se shāyad
na ab pukāro mujhe ki ab to
maiñ jā rahā huuñ
maiñ jā rahā huuñ
mere tasawwur mein
sabz peDon ki ThanDi chhanw
ye meri taza ghazal ke ashaar
aur ye nazmen
tere hawale
tere hawale ki main to KHud ko
udasiyon ko supurdagi de chuka hun
kahan ka mera hai ab irada
na koi manzil
na koi jada
na-jaane kin raston pe chal ke
nikal paDa hun
musafirat ke azab sahne
gurez-pa hain ye meri hasrat ke sare raste
na mil sakenge dobara
ek dusre se shayad
na ab pukaro mujhe ki ab to
main ja raha hun
main ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.